Hello, Blogger
aaj mai aapko ye batane jara hu ki blogging platform kyon sabse badiya hai. Aaj
har koi apni site banana chahata hai par site banate waqt wo confuse ho jata
hai ki site banana ke liye platform koun sa chune. Blogger ya wordpress to aaj
mai aapke is doubt ko solve kar dunga.
Aap is post ko padhkar samaj jayenge ki humare liye konsa platform better hai.
Aap is post ko padhkar samaj jayenge ki humare liye konsa platform better hai.
Blogger.com Kya Hai?
Hum sabhi
janate hai ki blogger google ka ek product hai. Jo ki bilkul free hai hume blog
use karane ke liye google ko paise dene ki jarurat nahi hoti hai. Hum ek hi
google account se kayi blog bana sakate hai.
Blogger: Jo Blog
banata hai aur use maintain karane wale ko blogger kaha jata hai.
Aur aaj kayi
professional blogger hai jinke blog blogger.com pe hai.
Blogger
Platform Kyon Hai Behatar:
1. Free:
Blogger.com
bilkul free hai iske liye aapke kisi ko paise dene ki jarurat nahi hai sirf
aapko google ki jo terms and conditions hai unhe follow karana hai.
Agar aapka
business hai aur aap use online lana chahate hai to aap blogger ka use karke ye
kar sakate hai.
Aapko internet
pe bahut sari free templates mil jati hai. Aur to aur is template ka use karake
aap apni site ko professional look de sakate hai.
2. Extra Coding Ki Jarurat Nahi :
Blogger ek yesa
platform hai jispe hume bahut jayada coding ki jarurat nahi hai. Agar aap basic
things bhi sikh jate hai to aap blogger par easily apni site ko maintain kar
sakate hai. Sirf aapko basic html ki jankari honi jaruri hai. Aap yaha se html
ka tutorial sikh sakate hai.
3. Security:
Maine pahalehi
bataya ki ye ek google ka product hai isliye ise high security provide ki hai.
Agar aap apne blog ko secure rakhana chahate hai to aap apne google account ke
liye 2 step verification on kar sakate hai. Jab bhi aap apne account me login
karenge to aapke register mobile number ek 6 digit ka code aayega use dalane ke
bad hi aap account me login kar sakenge.
Maine aaj tak
to kahi par read nahi kiya ki kisi blogger account hack ho gaya hai. Kyon ki
blogger cloud platform par hosted hai, jise hack karana kisi ke bus ki bat nahi
hai.
4. Space:
Blog banane ke
bad aapko hosting ke bare me tension lene ki koi jarurat nahi. Blogger platform me aapko
sab kuch free mil jata hai. 1 google account me aap ko 15 Gb Ka free space
milata hai. Aur photo upload karne ke liye picasa alag se use kar sakate hai.
Agar videos upload karane hai to youtube pe unlimited space hai uska use kar
sakate hai.
Aur agar aap
self-hosted blog start karate hai to aapko iske liye alag se paise dene padate
hai.
5. Server Load Time:
Blogger pe
karodo blog hone ke bavajut bhi iska server load time bahut hi fast hai. Aur
agar aap hosting buy karate hai to jo sasti hosting hoti hai unka server jayada
load ke karan down ho jata hai. Blogger ka server kabi bhi down nahi hota.
Blogger ka respond time bhi fast hai.
6. SEO Optimization:
Blogger me
aapko Search engine optimization ke liye inbuilt option milenge. Iske liye aapko extra
paise dekar plugin lene ke jarurat nahi hai.
SEO
Optimization ke liye aap Meta search description add kare.
Custom redirects
ka inbuilt option diya iske liye aapko alag se koi coding karane ki jarurat
nahi hai. 404 page not found ka error easily fix kar sakate hai.
7. Template Editing and Designing:
Blogger me
aapko template edit aur design karane ki puri chut hai. Aapko internet par free
template mil jayegi. Blog ke liye seo friendly template kon si hai aap yaha se
dekh sakate hai. Blog ko aap apni pasand se design kar sakate hai.
8. Unlimited Widget:
Blog ko design
karane ke liye aap jitne chahe extra widget use kar sakate hai. Popular post widget, related post widget etc.
9. Earning Kar Sakate Hai:
Aaj internet
kayi professional blog dikhayi denge jo blogger use karke kafi paise kama rahe
hai. Aap apne blog ke jariye adsense, affiliate earning se
paise kama sakate hai.
10. Blog Attack:
Blogger pe
aapko bahut hi badiya security milati hai. Aap apne blog ke liye https: secure
protocol start kar sakate hai. Ye facility sirf blog ke liye hai aap custom
domain use karate hai to aapko ye facility nahi milegi.
To dosto maine
aapko ye bataya ki blogger platform kyo sabse behatar hai. Aaj internet par
kayi professional blogger milenge jo abhi bhi blog use karate hai aur unse kafi
acchi income bhi karate hai. Agar aap bhi blog start karana chahate hai to
aapke liye ye accha sa platform hai. Jo ki bilkul free hai aapko iske liye koi
bhi investement karane ki jarurat nahi hai.
Agar aap ka bhi
koi sujhav ho to niche comment me jarur batana ki koun sa platform accha hai.
Sir ak baar mere blog template ko dekh li ki vo mobile, seo,ad sense friendly hai ya nhi. Blog url- hindustanmag.blogsoot.com
ReplyDelete2. Agar mai domain abhi lgau to sitemap phir se submut karba pdega .. ....please ans.
@ Vinod,
DeleteAap ka blog achha ahi, agar aap abhi domain add karate hai to aapko phir se sitemap submit karane ki jarurat nahi hai.
bahut bdhiya..maene abhi abhi blogger par bloging shuru ki hae..
ReplyDelete