Hello, Dosto
aaj hum janengi ki kaise hum windows 7, 8 ya 10 operating system ke liye
bootable pen drive bana sakate hai.
Kabhi-kabhi kya
ho jata hai humara pc slow ho jata hai ya usme virus aata hai to hume use
format karane ki jarurat padati hai. Par kai logo ke pass operating system
install karane ke liye jo CD-ROM nahi hota hai. Iski wajah se wo operating
system install nahi kar pate. To un logo ke liye aaj mai bataunga ki kaise hum
pen drive ko hi bootable bana sakate hai.
Bootable Pen
Drive Banane Ke liye Kya-kya Jaruri Hai?
1. Power Iso
Software (Download From Here
)
2. 4GB/8 GB Ka
Pen Drive
3. Windows
7,8,10 Ki ISO File (Agar aapke pass ye nahi hai to internet se download kare)
Bootable Pen Drive Kaise Banaye:
Step 1:
Power iso
software ko download karake apne pc me install karle. Aur install karane ke bad
power iso ko start kare.
Step 2:
USB ko PC se connect
kare aur use format kar le.
Step 3:
Phir Tool option pe select kare aur niche Create Bootable USB Drive pe click kare.
Step 4:
Phir dusari ek
pop window open ho jayegi. Usme source file me windows 7,8,10 ki jo iso file
hai use select kare.
Step 5:
Destination Me
Pen drive select kare.
Step 6:
Writing Method
Me Ko USB-HDD Hi rahane de.
Step 7:
Start button pe
click kare uske bad agar aapne pendrive format nahi kiya hai to aapko ” All
data in the USB drive will be overwrtitten. Do you want to continue?” yesa
message dikhayi dega. Ok pe click kare.
Step 8:
Thoda time
lagega write hone me kuch time ke bad aapke samane ek windows open ho jayegi “Writing
USB Drive Completed successfully.”
Is tarah simple
way se hum bootable pendrive bana sakate hai. Agar aapko isme koi problem aa
rahi hai to niche comment karana na bhule.
Aapko agar ye
post acchi lagi to niche comment me jarur batana aur is post ko share karana na
bhule. Agar aapke pass bhi koi tricks, tips hai to aap bhi humare sath share
kar sakate hai. Iske liye humari guest post ki terms aur
condition ek bar jarur read kar le.
thanks brother
ReplyDelete