Hello, blogger
aaj mai aapko bataunga ki kaise hum apni site ya blog ka alexa rank improve kar
sakate hai. Jab bhi hum aapna new blog bana lete hai to hume site rank ke bare
me sochana padata hai ki kaise hum apni site ka rank improve kar sakate hai.
Kyon ki agar hum blog se adsense ke jariye paise kamana chahate hai to hume
site ranking ko improve karana padata hai.
How to Improve Alexa Rank:
1. Site Ko Alexa Me Claim Karake Verify Kare:
Apni site ko
alexa me claim karake verify kar liya hoga agar nahi to pahale alexa me site ko claim karke verify kar le. Isme aapko aapki site ki details deni padati
hai. Alexa rank aapki daily traffic pe depend hota hai.
2. Alexa Widget Blog Me Add Kare:
Second most
important tips ye hai ki aapko alexa widget ko aapki site pe add karana padata
hai. Ye widget isliye hota hai taki aapki site ka global rank aur country rank
show ho.
3. Blog ko Regular update Karate Rahe:
Ye sabse bada
factor hai alexa rank improve karane ke liye new blogger yahi Galati kar dete
hai, ki wo apne blog ko regularly update nahi karate. Blog me aapko regularly
kum se kum 1 post to jarur dalani chahiye. Agar ye mumkin nahi hai to week me 2
post to compulsory dalani hi padegi. Iska mai aapko proof dikhana chahunga ki
mera blog ko abhi 2 month hi huye hai mera country alexa rank 2 lakh se bhi
upar tha par aaj wo 60000 ho gaya hai.
4. Write Quality Contents:
Aapne kayi
jagah read kiya hoga ki “Quality is King” ye bilkul such hai agar aap apne site
pe quality content publish nahi karate hai to iska aapke site rank pe bada asar
padata hai. To isliye aapko site pe good quality content post karane honge.
Post ki jo length hai wo kum se kum 500 words ho. But mai to 1000 hi recommend
karunga. Post yesi dale ki jo user ko pasand aaye aadhi adhuri post na dale.
5. Alexa Ke Bare Me Post Kare:
Ye ek small
tips hai but aapko ye aajmakar dekhani chahiye . Aapke blog pe alexa se
realated 1-2 post jarur kare isse aapko alexa ki taraf se backlinks milegi.
6. Don’t Copy Paste Article/Post:
Agar aap such
me alexa rank improve karana chahate hai to ye humesha dyan me rakhe ki aapko
kahi se bhi koi post copy karake apne site pe nahi dalani hai.
7. Alexa Toolbar Browser Me Install Kare:
Aapko kya
karana hai aapka jo bhi browser hai usme alexa ka extension install karana hai.
Alexa extension site ka global rank, country rank display karata hai. Yaha Se InstallKare.
8. Comments and Backlinks:
Jo popular
sites hai waha par jakar comment kare taki waha se aapko quality backlinks
milati rahe. Alexa site links bhi calculate karata rahata hai. Aur top ranked
blog pe guest post kare taki waha se bhi aapko quality backlinks milati rahe.
9. Blog Ko Social Media Pe Share Kare
Hum sab janate
hai ko social media backbone ka kam karata hai site ranking, site traffic ke
liye. Jitna ki quality content hona jaruri hai waise hi blog ko social media pe
share karana jaruri hai. Agar aap social networking site pe aapka blog share
nahi karate to logo ko kaise pata chalega aapke blog ke bare me.
10. Don’t Buy Traffic:
New blogger
yahi Galati kar dete hai, site ka rank improve karane ke chakkar me black hat
seo ko follow karate hai. Kisi PTC site, ya website se apne site ke liye links
buy kar lete hai. Isse alexa rank to improve hota hai, nahi bulki search engine
se jo natural traffic aa rahi hoti hai, wo bhi band ho jati hai.
Alexa Se Related Kuch Sawal (FAQ):
1. Alexa rank show karana compulsory hai?
Ans: Nahi agar
aap apni site par alexa rank show nahi karana chahate to ye compulsory nahi
hai.
2. Alexa Is Free or Paid:
Alexa me site
verify karane ko 2 way hai, free aur paid aap jo chahe use kar sakate hai.
To dosto agar
aap in 10 tips ko follow karate hai to surely improve hoga. Kyon ki maine khud
ye step follow ki hai aur aaj mera traffic rank bahut hi badiya hai.
Aapko humari ye
post kaise lagi comment me jarur bataye.
maine add kiya par nahi aa raha hai
ReplyDeleteBlogger Dashboard -> Layout -> Add Gadget -> Labels -> Save Arrangement Itna karane ke bad bhi show nahi kar raha hai to aapki template me kuch problem hogi.
Delete