Computer Ki 20 Shortcut Keys Jo Har Kisi Ko Malum Honi Chahiye


Aaj hum janege ki computer ya laptop ki short cut keys kya hoti hai. Aur iska use kyon karana chahiye.

Windows7 Shortcut Keys

Computer Short Cut Keys:

Aaj har kisi ke pass laptop ya computer to hai. Aur aap bahut sare kam apne computer ya pc par karate rahate hai, par kya kabhi apne kam karate waqt short cut keys ka use kiya hai ? nahi to karke dekhe.
Shortcut keys ka use karane se humara kafi time save ho jata hai aur hume kam karate waqt bor bhi nahi hota.



Computer Ki Basic Short Cut Keys:

Ye jo niche list di gayi ye wo short cut keys hai jo har kisi ko malum honi chahiye:

1. Ctrl + C (Copy):
Kisi bhi text ko select karke Ctrl+C dabane se apka text copy ho jayega. Ye short cut key kisi bhi application pe use hoti hai.

2. Ctrl + V (Paste):
Agar kisi text ko copy kiya hai to iske jariye aap paste kar sakate hai

3. Ctrl + A (Select All):
Agar sabhi text ya image ya kisi bhi file ko select karana chahate hai to is shortcut keys se aap select kar sakate hai.

4. Ctrl + S (Save):
Agar aap computer par kam kare ho aur tabhi bijali chale jaye to aapka sara work bekar chala jayega iske liye file ko save karana jaruri hota hai. File par kam karate samay 2-3 minute me Ctrl+S dabate rahe ise aapki file save ho jati hai.




5. Windows + D (Minimize All Windows):
Agar aap ek sath kam kar rahe sabi windows ko minimize karana chahate hai to phir is shortcut key ka use kare.
Aur maximize karane ke liye phir se yahi key dabaye.


6. Windows + E (My Computer):
Is shortcut ke madad se aap apne computer ki dirve easily access kar sakate hai.

7. Ctrl + PrntScr (Screen Capture)
Agar aap blogger hai to aapko kayi jagah pe screen capture karani padati hai to phir is shortcut ko ka use karke aap screen capture kar sakate hai. Phir paint, ya phir photoshop open karake useme paste kar de. Aur image ko edit karke save kar de.


8. Window + L(Lock Screen)
Apne pc ya laptop ko lock karane ke liye is key ka use hota hai.

9. Ctrl + Z (Undo):
Is shortcut key ke madad se aap ek step backword yane piche aasakate hai. Agar aap se koi galati ho jaye to phir aap use galati ko sudhar sakate hai is shortcut key ki madad se.


10. Ctrl + P(Print):
Agar aapko kisi chiz ki print out leni hai to is shortcut key ki madad se aap le sakate hai.

11. Ctrl + Alt + Del (Task Manager)
Ye shortcut key sabse jayda important hai kyon ki agar aapka pc hang ho jaye to phir aap task manager ki madad se aap use solve kar sakate hai. Task manager ko open kare aur jo program work nahi kar raha ya hang ho raha hai use aap yaha se close kar sakate hai.




Ye to ho gayi general use hone wali shortcut key ab dekhate hai ki jab hum internet use karate hai tab konsi keys use karate hai.

Internet shortcut Keys:

1. Alt + Home (Homepage)
Is key ki madad se aap easily homepage par jayenge.

2. Ctrl + Enter (open webpage without .com)
Is key ki madad se aap koi bhi webpage without .com dale bina open kar sakate hai. jaise mujhe meri site open karani hai to phir mai hindimeearn itna dalkakar is shortcut ki ka use karunga.

3. Ctrl + T (New Tab)
Agar aap apne browser me new tab open karana chahate hai to phir is key ka use kare.

4. Ctrl + K (Duplicate Tab)
Agar aap kisi tab ki duplicate tab open karana chahate hai to is key ka use kare.

5. Ctrl + W (close current tab)
Browser me tab close karani hai to is key ka use kare.

6. Ctrl + D (Bookmark Website)
Agar aapko koi website haz roz lagati hai to phi aap use bookmark me save kar sakate hai is key ka use karake.




7. Ctrl + H (History):
Browser ki history open karane ke liye is key ka use hota hai.

8. F5 (Reload Current Webpage):
Kisi page ko reload karana hai to phir is key ka use kare.

9. F11 (Full Page)
Agar aap webpage ko full view me dekhana chahate hai to f11 key ka use kare.


To is tarah in basic shortcut keys ka use karake aap apna kam aasani se kar sakate hai aur bahut sara time save kar sakate hai. Agar aapko koi shortcut key ki jarurat hogi ti niche comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

1 comment: