Pan card yane
Permanent Account Number Hota Hai. Pan card ek important document hai. Jiska
use kayi jagah pe hota hai jaise bank me account open karane ke liye, agar aap
income tax bharate hai to waha par.
Agar aap ke man
me niche diye gaye sawal uthate hai to aapko is post me inka answer mil jayega.
1. Pan card kya
hai,
2. Pan card ka
use kya hai? Aur isse hum kaise banavaye.
3. Pan card
koun banava sakata hai?
4. Pan Card
banvane ke liye koun se document required hai.
Pan Card Kya Hai? Aur Kyon Jaruri Hai
Maine pahale hi
bataya ki Pan yane Permanent Account Number Hota Hai Jise Income Tax department
issure karata hai. Ye India Ka Important government document mana jata hai.
Pan card
dikhane me apne ATM Card jaisa hota hai jispar aapka photo, pura naam aur
signature hota hai.
Pan Card Ka ek
unique number hota hai jo 10 digit ka alphanumeric number hota hai. E.g.
AAYH1111AO
Pan Card Kyon Hai Jaruri?
Pan card ko ek
government id proof mana jata hai. Iska main kam hai income tax barane ke liye
iska use hota hai. Agar aapki yearly income taxable hai to aapko income tax
bharana padata hai.
Pan card ka use
bank
me bade transaction karane ke liye hota hai. Agar aapko RS.50000 ke upar
transaction karana hai to aapke pass pan card hona jaruri hai.
Pan Card Koun Bana Sakata Hai?
India ka koi
bhi nagarik pan card banava sakata hai. Iske liye age ki koi limit nahi hai.
Aur aap koi karobar ya nokari karate hai ya nahi iska pan card se koi lena dena
nahi hai.
Pan Card Banane Ke Liye Koun Se Document Required Hai?
Pan card banana
ke liye aapke pass niche diye gaye 3 document ki jarurat hoti hai.
1. Recently
nikale huye 2 color passport size photo
2. Identity
Proof (Jisme Date of Birth Ho):
Isme se koi bhi
1 doument chalega.
a) School leaving certificate
b) SSC Board Ka
Marksheet
c) Passport
d) Voter Id
e) Aadhar Card
f) Driving
License
g) Ration Card
3. Address
Proof:
Isme se koi bhi
1 doument:
a) Bank
Passbook
b) Light Bill
c) Phone Bill
d) Voter Id
Pan Card Ke Liye Kaise Apply Kare?
Agar aap ko
internet ki jankari hai to aap pan card ke liye online aaply kar sakate hai.
Iske liye aapko pan card ki website https://www.onlineservices.nsdl.com/ par jakar apply kar sakate hai. Iske liye website par jo instruction di gayi
unhe tik tarah se follow kare.
Form kaise fill kiya jata hai iske bare me jald hi hum post likhane wale hai.
Form kaise fill kiya jata hai iske bare me jald hi hum post likhane wale hai.
Pan Card Banavane Ke Liye
Fees Kitani Lagegi?
Pan card banana
ke liye income tex department aapse Rs.105 leta hai. Aur agar aap khud se
online apply karate hai to aapko application ki print out nikalkar pan suvidha
center ya tin center par bhejani hoti hai. Jiske liye aapko post ka kharch kuch
Rs.50-100 legega. Agar aapko online nahi aaply karana hai to aap kisi pan card
agent se pan card banava sakate hai. Wo uski fees Rs.200-250 lega.
Pan Card Kab Milega Aur Kaha ?
Pan card ko
aaply karane ke bad 15-20 din me pan card aapke address pe post se aa jayega.
Pan Card Gum Ho Jaye To Kya Karana Hai?
Agar aap ka pan
card gum ya chori ho jaye to aapko uski
shikayat najdiki police station me karvani hai aur to aur aapko nsdl ke office
me bhi iski report karani hai.
To dosto aaj
humane jana ki pan card kya hota hai, ise kaise banvaye aur iske liye koun koun
se document ki jarurat hogi. Agar aapko pan card ke bare me koi bhi jankari chahiye
to niche comment karana na bhule.
Chattishgatl me kha tin no. Milega plz center name btae
ReplyDelete@ Lohit aap nsdl ki website pe jake waha se coustomor care ka number le aur unse puche ke aapke ilake me tin center kaha par hai.
ReplyDeleteme lalsingh hu aour mera ATM nahi mila hai aour mere 10000 hajar rupaye jama had to me kya karu
ReplyDelete@ Lalsingh,
DeleteAgar aapka ATM kho gaya hai to bank me jake usko block kardo, ya phir online usko block karde.
sir, pancard kitne age se banta hai
ReplyDelete@Pinku,
Delete18 Saal se upar age wala koi bhi pan card banawa sakata hai.
SIR PEN CARD ONLINE HONE KE BAD FINALPRENT PHOTO LAGKE KAHA JAMA KARE
ReplyDelete@ Vijay,
DeleteAapko pan application kis address par send karana hai, NSDL ki website par address diya hai waha se address le le.
Sir kya ham 18 se phle nhi banwa skte hai
ReplyDelete@Predeep,
DeleteAapka age 18+ hona jaruri hai.