Android Mobile Ke Liye 2017 Ke Best Free Antivirus Apps

Android Operating System aaj ki sabse popular smartphone ki operating system hai. Android mobile aaj kal har kisi pass hai aur usme jo data hota hai wo bahut important hota hai. 



To is important data ko safe rakhane ke liye aapke mobile me antivirus software hona jaruri hai. Iski madad se aap chori hue mobile ko bhi dund sakate hai. To chaliye aaj mai aapko top free antivirus software ke bare me batata hu.

Android Mobile Ke Liye free Antivirus Apps

Virus Kya Hota Hai?

Virus ek code ya self-generated code hota hai. Jo aapke data ko crash, corrupt ya delete kar deta hai. Is prakar ke virus aapke mobile me kisi website ya kisi jagah aap mobile connect karate hai waha se chala aata hai. To ise apne mobile se nikalane (remove) ke liye antivirus software install karana jaruri hai.


Best Free Antivirus Software:

Waise to aapko google play store pe hundreds of antivirus software mil jayenge lekin to inme se koun se acche hai aur kon se nahi inke bare me aapko pata nahi hota. Isliye maine top most antivirus software niche diye hai. In softwares ko intall karane ke bad ye aapke mobile ko scan karake appke mobile me se virus, malware remove kar denge.

List of Best Free Antivirus Software’s of 2016
1. Avast! Mobile Security
2. AVG Antivirus Security
3.  Norton Security antivirus
4. Kaspersky Internet Security
5. Avira Antivirus Security
6. Bitdefender Mobile Security & Antivirus
7. 360 Security Antivirus





1. Avast! Mobile Security:

Avast Antivirus
Avast ye ek sabse popular antivirus software hai jo bahut se platform ke liye available hai shayad aap me se kayi log apne pc me iska use karate honge.
Avast android mobile security me virus scanner, network meter, anti-theft, privacy advisor aur firewall security provide karata hai.

Features:
     o   Free of cost.

     o   Mobile, pc dono ke liye available hai.





2. AVG Antivirus Security:

AVG Antivirus


AVG antivirus bhi ek popular software hai. AVG Security apke Android device ko viruses, malware, and spyware ko remove kar deta hai. AVG Antiviurs bahut popular hone ki wajah se ye do version me milata hai. Free version aur paid version, par free version me wo sabhi basic feature milate hai jo ek smart phone ke liye jaruri hote hai.


3. Norton Security antivirus

Norton Security

Norton ye internet ke duniya ka sabse popular brand hai. Bahut sare log apne pc me Norton antivirus use karate hai. Iske bhi do version ata hai paid aur free. Aap paid version ka 30 din ka free trial use kar sakate hai.
Aur free version me bhi aapko basic feature milate hai jaise

Features:
o   Anti-malware
o   Antitheft features
o   Web protection
o   Call & SMS blocking
o   Chori hue phone ko sms se lock kar sakate hai.


4. Kaspersky Internet Security:
Kaspersky Internet Security

Kaspersky ye new antivirus hai but isme bahut sare latest features ke sath ata hai.

Features:
       o   Anti-malware Protection
       o   Web Protection
       o   Anti-Theft Protection
       o   Privacy Protection
     o   Call & Text Filter






5. Avira Antivirus Security:

Avira Antivirus

Avira antivirus software smartphone, tablet ke liye available hai.

Features:
      o   Virus Scan Karata hai.
      o   Chori Hua Phone Find kar sakate hai.
      o   Photos, Sms Chori Hone Se Protection Se Deta Hai.
      o   Battery power Save Karane Me madad karata hai


6. Bitdefender Mobile Security & Antivirus:

Bitdefender Logo

Ye bhi ek accha software hai. Bitdefender ke bahut sare version available hai usme se koi bhi free version aap le sakate hai jisme sabi features aapko mil jayenge.

Features:
     o   Anti-virus scanner
     o   Antimalware scanner
     o   Anti-phishing

7. 360 Security Antivirus:
360 Security Logo

Ye bhi ek badiya app hai mobile ke liye maine ye software apne laptop ke liye use karake dekha hai bahut accha result hai iska.

Features:
      o   Virus Scanner
      o   Real Time Protection




To dosto inme se koi bhi aaps ko aap download karke apne mobile me install kar sakate hai.



Note: Antivirus software ko kum se kum 15-20 din me update karana jaruri hota hai. Kyon ki jo apps banane wale hote hai wo us me new database updates karate rahate hai. Jise agar koi virus naya aaya hoga to bhi wo remove kar diya jayega.

Agar iske alawa agar aapke pass bhi koi behatarin antivirus software hai aur aap wo use karate hai to niche comment me batana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: