इन्टरनेट क्या है - Internet Kya Hai


इन्टरनेट क्या है - Internet Kya Hai. What is internet in hindi language. Internet kya hai hindi me jankari. Aaj har koi internet use karata hai to aaj hum janenge internet ki puri Jankari(What is Internet in Hindi, internet meaning in hindi). Iski shuruwat kaise hui. Internet ka use hum kis tarah kar sakate hai.

इन्टरनेट क्या है

Internet Kya Hai? Definition:

Internet Network ka network hai. Internet world ka sabse bada network hai. Internet par private vakti ka ya kisi private company ka adikar nahi hai. Internet subke liye khula hai iska koi malik nahi hai. Aaj ye har kisi ke jivan ka hissa ban gaya hai. Agar humare mobile me internet na ho to mobile kisi kam ka nahi lagata hai. Internet Insaan ki pramukha jarurat ban gayi hai.


Internet Basic Terms?
Jab bhi hum internet use karate hai to baat aati hai internet se related terms ki.
1. Browser: Agar aap ko internet ka use karana hai to aapke pass browser hona jaruri hai. Browser ye ek application hai jo internet ka use karane ke liye hota hai. Chaaye aap mobile use kar rahe ho ya computer.
Computer ke liye Google chrome, Mozilla Firefox ye kuch popular browser hai.
Aur Mobile Ke Liye UC Web Browser aur Opera Mini Ye Popular browser hai.

2. URL: Isko Uniform Resource Locator Kaha Jata hai. Jiski use karake hum koi bhi website easily open kar sakate hai. Jaise Meri Site ka url hai www.hindimeearn.com

3. TCP/IP Protocol: (Transfer Control Protocol/ Internet Protocol) Ye Protocols hai jab bhi hum internet use karate hai tab yahi protocols ka use hota hai.

4. Search Engine: Agar internet par aapko koi bhi information chahiye to search engines wo aapko find karake dete hai. Search engine ke examples hai google, yahoo and Bing etc.



Internet Kab Shuru Hua?

Internet ki Shurwat 1969 me hui thi. Internet ki Shurwat America Me ARPANET (Advanced Research Project Agency Network) mi ki gayi. Start me internet ka use sirf text message transfer karane ke liye hota tha. Tab hum isse jayada kuch bhi send nahi kar sakate the. Phir isme nayi nayi chize jaise WWW, TCP/IP Inka implementation hota gaya.

Internet Ke Applications:
Internet ka use aaj har jagah ho raha hai yesa koi sector nahi hai jisme internet ka use na kiya jata ho.
1. Online Shopping:
Aaj har koi online shopping kar raha hai. Online shopping karane se bazar me jana ka tension khatam ho gaya hai. Aaj aapko har koi chiz internet pe kharidane ke liye mil jati hai. Aur online shopping pe aapko kafi accha discount bhi mil jata hai.

2. Banking:
Bank ke jo bhi transaction hai wo sabhi internet ke jariye hi hote hai. Chahe aap paise transfer karana chahate hai ya withdraw karana chahate hai.

3. Social Networking Sites:
Agar internet ke sabse jayada use isike liye hota hai. 99% log internet ka use facebook, whatsaap in ko chalane ke liye hi karate hai.
Log Twitter, Google+ Inka bhi use karate rahate hai.  

4. ELearning and Education:
Internet ka use karake aaj hum yaha India me baitkar America ke university se education le sakate hai. Aaj internet par aapko bahut sari elearing ki sites mil jati hai. Aur Youtube to sabse badiya tutor hai aapko har problem ka solution yaha par mil jata hai.

5. Entertainment:
Agar aapko time pass karana hai to phir internet par aapko bahut sari entertainment ki sites mil jayegi jispe aapko comedy, movies dekhane ko milati hai.



Internet Ke Advantages:

Duniya Apne Mobile Me:
Internet ki wajah se aaj pura world humare nazdig aa gaya hai. Aaj par 1 seconds me apne friends ya relative se kahi par bhi calling, ya video calling kar sakate hai. Aaj internet ne hume virtually nazdig lakar khada kar diya hai.

Save Time And Money:
Internet ka use karane se hum bahut sara time aur money save kar sakate hai. aaj hume kisi bhi chiz ko kharidane ki liye bazar me jane ki jarurat nahi hum online shopping ke jariye koi bhi chiz ghar baite mangava sakate hai aur payment bhi online kar sakate hai.

All Information In One Click:
Aaj humare ek click pe koi bhi information mil jati hai.



Internet Ke Disadvantages:

Kisi bhi chiz ke do hisse hote hai ek accha aur ek bura to waise hi internet ka use jaise acchi chizo ki liye hota hai waise hi buri chize ke liye bhi hota hai.
Online Chori (Theft):
Aaj internet pe yese kai log maujud hai jo internet ka use buri tarah se kar rahe hai. Internet ke jariye wo chori karate hai. Internet ki duniya me unko Black Hacker Kaha Jata hai. Inka kam hi hota hai kisi ka important data, information aur paise chori karana.
Lekin yesa karana ek guna hai iske liye jail bhi ho sakate hai. Isse cyber crime kaha jata hai.

Spamming:
Online marketing, apne products ka promotion karane ke liye log spam email send karate hai, jise spamming kaha jata hai.

Virus Attack:
Kai log jo computer experts hai jine programming knowledge hai wo kya karate hai kisi ka nuksaan karane ke hetu se uspe virus attack karate hai.
For examples virus se bhara hua email jan buz kar kisi ko send karana.
To is tarah internet ke fayade aur nukasan bhi hai wo depend karate hai use karane wale pe ki wo kis tarah internet ka use karana chahata hai.
Lekin internet ye ek basic need ban chuki hai internet ke bina aaj koi bhi chiz mumkin nahi.
 To is post ko read karane ke bad aapke man me jo sawal ya koi suggestions hai wo aap hume niche comment me bata sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

4 comments:

  1. internet m jo pesa lgta vo kis ko jata or kaha jata

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Ravi,
      Internet use karane ke liye paise nahi lagate hai, lekin jo internet data lagata hai jo hume service provider dete hai unko hume net pack ke hisab se paise dene padate hai.Jaise Idea, Vodafone, JIO, Airtel etc.

      Delete