Aaj mai aapko
bataunga ki OTP aur CVV code kya hota hai. Iska use kab aur kaha kaha hota hai.
Jab bhi hum
apne ATM Card se ya Online Banking se online payment karate hai tab aapko kayi
bar OTP pucha jata hai kayi logo ko OTP kya hai ye pata nahi hota isliye unko
thodi dikkat aati hai to chaliye aaj hum janate hai ki OTP kya hota hai.
OTP Kya Hota Hai?
OTP ka matlab
hota hai One Time Password. Yane jab bhi aap online payment kar rahe hote hai
tab iske jariye aapko apna account verify karana hota hai.
OTP Kyon Use Kiya Jata Hai?
OTP Jayadatar
Net banking, online payment karte samay pucha jata hai. OTP isliye hota hai
taki aapka account safe rahe. OTP ka ek limited time hota hai agar aap diye
gaye time me OTP nahi daloge to wo expiry ho jata hai. Aapko fir se useke liye
try karana padata hai.
e.g. Agar kisi
ko aapka internet banking ka user name aur password pata chal jaye to wo apke account se
paise nikal sakata hai, lekin agar OTP na hone ke karan wo aapke account se paise
nahi nikal sakata
OTP Kab Aur Kaha Aata Hai?
OTP aapke
register mobile number pe aata hai. Jab aap internet se paise transfer karate
hai ya online shopping karate hai to otp aata hai.
Pyatm
jo ko online recharge ki ek badiya website hai waha par bhi OTP pucha jata hai.
Taki aapka account secure rahe.
Google ne bhi
gmail ke liye 2 Step verification Start kiya hai. Jab aap ise shuru karoge to aap jab gmail
pe login karoge to aapke mobile number pe ek message ke jariye OTP aata hai. Wo
dalane ke bad hi aap apne account me login kar sakate ho.
CVV Code Kya Hota Hai?
CVV – Card
Verification Value Kaha Jata Hai. CVV Code aapke credit, debit card ke piche
hota hai.
CVV code 3
digit ka hota hai aur wo humare ATM Card ke back side me hota hai. CVV Code
sabhi ATM Cards jaise Master Card, VISA, Rupay in sabhi cards par hota hai.
Jab aap kahi
par online payment karate hai apne ATM Card ke jariye to aapko CVV code pucha
jata hai. Waha pe wo aapko dena padata hai.
Ek baat dyan me
rakhe ki CVV Code aur ATM ka pin ye dono alag-alag hote hai. Bahut se log
confuse ho jate hai CVV code ke bare me.
CVV Number ko
CSC (Card Security Code) bhi kaha jata hai.
CVV Code Ki Jarurat Kaha Hoti
Hai?
CVV Code ki
jarurat aapko tab padati hai jab hum kahi par online shopping karate hai aur
waha pe payment karane ke liye Credit Card, debit Card ka use karate hai.
To ab aap samaj
gaye hoge ki OTP aur CVV Code kya hota hai. Aur isska use kaha kaha pe hota
hai.
Agar iske
related aapko koi bhi dikkat ho to niche comment karana na bhule.
Thanx sir
ReplyDeleteWITHOUT OTP KE SHOPING HO SKTI HAI KYA SIR
ReplyDelete@ Gurwinder Singh,
DeleteWithout OTP shopping kar sakate hai, sirf aapko payment me Cash On Delivery select kare otp ki jarurat nahi padegi.
Fb page p debit card number or cvv code mang rahy hai Dy do ya Na do ..agr dy diya to wo atm card mei mojoda raqam nikal sakty hai
ReplyDelete@ PunjabNews,
DeleteAgar aapko facebook page trusted lagata hai tabhi aap waha pe apni card details de. Agar aapko insecure lagata hai to aap fb page pe card details na de.
Koi bhi trusted website aapke card number ya CVV code se mojoda rakam nahi nikal sakati.
Bhai main apna otp code kaise pata karu
ReplyDelete@ Vikram,
DeleteAap ko kon sa OTP pata karana hai, aur OTP sirf registered number par aata hai wo sirf 1-2 minute ke liye hota hai. Every time naya OTP generate hota hai.
Mere card ka cvv number erase ho gaya hai ab kaya karu
ReplyDelete@ Shubham,
DeleteIske 2 solution hai ek to naye card ke liye apply karo.
Second aap apne bank ke customer care se contact karo aur unse iske bare me bat karo.