Google Chrome Ki Interesting Tips and Tricks

Google Chrome Tips & Tricks in Hindi. Everyone should know this google chrome tips. Google chrome sabse jayada use hone wala computer ya laptop ka brower hai. India me hi nahi bulki sare world me google chrome bahut hi popular browser hai. 


Sabhi expert, aur professional google chrome use karane ko hi recommend karate hai. Aaj hum google chrome ki kuch tips aur tircks ke bare me janenge jo isse pahale aapni kabhi use nahi ki hogi.

Google Chrome Tips and tricks

Google Chrome Tips and Tricks:

1. Incognito Windows (Control + Shift + N)

Incognito yane agar aap browser me jo website dekh rahe hai wo agar aap kisi se chupana chahate hai to aapko google chrome “Control + Shift + N” dabakar incongnito me open kare.
Ab yaha se aap jo bhi website browse karnege uski history browser me nahi dikhayi degi. Aur agar aap incognito me agar koi website ko bookmark karate hai to wo waise hi rahegi. Aur jo files aapne download ki hai wo bhi waise hi rahegi.


Incognito Windows




2. Bookmark: (Control +D)

Agar aapko bar bar kisi website ki jarurat padati hai to use aap bookmark me save kar sakate hai. Bookmark me save karane ke fayda ye hai ki aap jab us website ko dobara open karana chahenge to aapko use website ka address dalane ki jarurat nahi hai. Sirf us bookmark pe chale jaye aur use open kare.
Site ko bookmark me save karane ke liye aapko url ko samane star ka symbol dikhayi dega uspe click karke bhi aap bookmark kar sakate hai ya keyboard se “Control + D ” key dabakar bhi kar sakate hai.




3. Download Folder: (Control +J)

Agar aapko apne jo files download ki hai wo dekhani hai to keyboard se Control + J key press kar to aapko windows me aapki download ki gayi files dikhayi degi.


4. Task Manager (Shift + Esc)

Agar aapko google chrome ka task bar open karana hai to aapko sirf keyboard se Shift+Esc key ko press karana hai.


Google chrome Task Manager







5. New Tab (Control +T):

Agar aapko google chrome me koi new tab open karani hai to aapko keyboard se “Control +T” Key ko press karana hai.


6. Find (Control+F):

Agar aapko webpage me kuch find karana hai to keyboard pe se control + F key press kare aur us search box me aapko jo search karana hai wo dal de. Kabhi kabhi kya ho jata hai hum result dekh rahe hote hai. Usme 100 se bhi Jayda pages hote hai usme agar hume apna naam find karana hai to bahut time lagega isliye hume is shortcut key ka use karana hai.





7. History (Control+H):

Agar hume apne browser ki history open karani hai, ya history clear karani hai to aapko google chrome me control+H key press kare aapko history ki tab open ho jayegi.


History




8. Save (Control+S):

Agar hume koi webpage save karane hai to iske liye bahut hi simple shortcut key hai, apne keyboard se control+S key press kare aur hume jaha webpage save karana hai waha kar sakate hai.


9. Bookmark Bar (Control+Shift+B):

Kabhi kabhi kya ho jata hai hum bookmark to save kar dete hai par humare browser me hume dikhayi nahi deta hai. Hume bookmark dekhane ke liye bookmark bar show karana padata hai. Bookmark bar show karane ke liye hume Control+Shift+B is key ko dabana hai. Humare browser me bookmark bar show karane legega.


Bookmark Bar




10. Print (Contorl+P):
Kabhi kabhi kya ho jata hai hum internet pe notes read karate hai. Aur us notes ki print out lene ki jarurat pad jati hai. Agar hume webpage ki printout leni hai to simply control+P key press kare aur print pe click kar de. Aapko webpage ki print out mil jayegi.





To dosto isse pahale kya kabhi aapne is shortcut keys ka use karake dekha hai kya? Nahi to ek bar jarur use karake dekhe.Aur hume bhi bataye ki ye tips aapko kaisi lagi.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: