Dosto isse pahali post me humane Microsoft excel ki basic information li, ki excel kya hai, iska use kisliye kiya jata hai. Worksheet kya hoti hai. To aaj hum excel ke kuch basic formula ke bare me jankari lenge. Is post me aapko aapke jo question hai jaise excel ke formulae hindi me, excel auto fill, sum, average, product, min, max function in sabke answer yaha pe mil jayenge.
Excel Me Use Hone Wale Formulae?
Agar aapko cell
address, cell range ke bare me nahi janate hai to phir pahale excel ke basic tutorial read kare jisse aapko excel ka basic samaj me aaye.
Ms excel bahut
hi badiya software hai isme ek se badakar ek badiya features diye gaye hai unme
se ek hai auto fill.
1. Auto Fill: Auto fill ek yesi facility hai
excel kya karata hai ki agar humane pahale si koi formula use kiya hai aur hum
use auto fill karate hai to hume wo formula dobara use karane ki jarurat nahi
hoti.
Main kuch
examples aapko dikhata hu jiske jariye auto fill kya hai aap easily understand
kar sakate hai.
1. Man lijiye
maine kisi month ka name type kiya hai kisi cell me mai cell ke corner pe click
karake use niche khichata hu to uske niche jo month hai automatically fill up
hote jayenge.
2. Agar ek cell
me maine 2 type kiya uske niche 4 type kiya aur auto fill kiya to waha pe 2 ka series
ban jayega.
2. SUM (Addition) Formula:
Agar aapko kahi
pe addition karani hai to aap sum formula use kar sakate hai.
Formula: =sum (cell address first number ka, cell
address second number ka)
OR = sum (cell range)
Example 1:
Agar hume
addition karani ha 2 number ki to
55
45
=sum (c1:c2)
Aur Enter kar
dena hai aapko aapka answer mil jayega.
Example 2:
Agar aapko ek
sath multiple cell ki addition karani hai to aapko wo cell range select karani
padati hai.
Aapko niche
image me jo example hai usse samaj aayega.
3.
Multiplication:
Agar aap kisi
cell ka multiplication karana chahate hai to aapko simple ek formula use karana
hai.
Formula: =Product
(number1, number 2, number 3)
4. Maximum:
Agar aapko kisi
number me sabse bada number find karana hai to aap maximum function ka use kar
sakate hai.
Formula: =max(cell
range)
5. Minimum:
Agar humare
pass bahut sare record hai aur unme se humako subse kum number wala record find
karana hai yane minimum jiski kimat hai wo find karana hai to hum minimum
function ka use karate hai.
Formula:
=min(cell range)
6. Average:
Kisi bhi field
ki agar hume average nikalana hai to phir average function ka use kar sakate
hai. Average function ka use karke hum kisi bhi field ka percentage nikal
sakate hai.
Formula:
=average(cell range)
7. Length:
Agar aap kisi
ke name ki length count karana chahate hai to length function se kar sakate
hai.
Formula:
=len(cell address)
8. Upper:
Agar hum kisi
name ki case change karana chahate hai, yane agar kisi name ko capital letter
me convert karana hai to upper function use kare.
Formula:
=Upper(cell address)
Ye to ho gaye
kuch basic formulae waise to excel me aur bahut sare formulae hai jaise if,
count etc.
Aapko ye post
kaise lagi ye jarur bataye. Aur agar kahi par dikkat ho to comment me jarur
bataye.
bahut acche se samjhaya thnk u iske aage ke formule bhi samjhaiye please
ReplyDelete@ Manish,
DeleteThanks, jarur hum aage ke forumule batayenge.
@Sandip,
ReplyDeleteUpar sum ka jo formula diya hai, usi prakar cell range select kare ho jayega.
sir ham division kaise nikale
ReplyDelete@ Ajay,
DeleteSimple division ka sign yane / laga de, divison ho jayegi.
Interview me excel ka puche jane wala sawal
ReplyDelete@Jald hi EXCEL Interview question in Hindi ye article publish kar denge.
DeleteAgar kisi work ki value same hai to konsa formula lagega
ReplyDelete@ Iske liye aap conditional formatting use kare.
Delete