MS Excel क्या है - Microsoft Excel Ka Introduction

Dosto aaj hum ek bahut he basic but useful software ke bare me janane wale hai. Jiska naam hai ms excel. MS-Excel ek badiya software hai iska use hum mathematical kam pure karane ke liye karate hai. To chaliye aaj hum ms-excel ka introduction dekhate hai.

MS Excel 2013 Hindi Me

MS Excel Kaise Start Kare:

MS excel shuru karane ke liye pahale aapke pc me Microsoft office install hona jaruri hai Microsoft office ka koi bhi version chalega jaise ms office 2007, 2013 ya 2013. Mai yaha pe Ms Office 2013 use kar raha hu.
Start Button Pe Click Kare>> All Programs >> MS Office 2013 >> MS Excel 2013 Open kare.



Start Karane Ke bad aapko blank workbook pe click karana hai. Open karane ke bad aapke samane kuch is tarah ki image dikhayi degi jaise niche maine dikhaya hai.




MS Excel Ke Options:

Upar jo image hai usme maine option name ko highlight kiya hai use hum ek ek karake janate hai.

1. Title Bar:
Title bar me aapko book1 name ka title dikhayi dega jab hum apni file save karate hai tab waha pe aapko us file ka name dikhayi dega.

2. File Option (Ms Office 2013) / Office Button (Ms Office 2007)
Agar aap office 2013 use kar rahe hai to aapko file option dikhayi dega aur ms office 2007 me office button dikhayi deta hai.
File button ka use file save karane ke liye, file open karane ke liye, new file banane ke liye aur file ko print karane ke liye kiya jata hai.




3. Tabs:
Sabhi tabs ko milkar riboon kaha jata hai. Aapko home, insert, formula, data, review aur view is tarah ki tabs dikhayi degi. Is tabs ka use different purpose ke liye hota hai.

4. Worksheet:
By default jab hum workbook insert karate hai to usme worksheet hoti hai jaise Sheet1 is tarah ki.

5. Name Box:
Name box me aapko ye dekhane ko milega ki aap kis cell me kam kar rahe hai.

6. Formula Bar:
Formula bar ka use different formula use karane ke liye hota hai jaise addition, multiplication etc.




7. Scroll Bar:
Scroll bar ka use page me upar niche aur daye, baye jane ke liye kiya jata hai.

8. Zoom Option:
Zoom option ki madad se hum worksheet ko zoom kar sakate hai. Yaha se aap worksheet ko 100,200,400 % tak zoom kar sakate hai.

          Þ    Deleted Data ko Recover Kaise kare


MS Excel Me Rows, Columns Aur Cell Kya Hai?

Hume excel me rows aur columns me kam karana hota hai. Iskeliye hum rows aur columns ko samajana padega.

Excel Rows, Column and Cell


Rows: Excel me jo horizontal lines hoti hai use rows kaha jata hai niche screen shot me dekhe.
Excel ki ek sheet me 10,48576 hoti hai.

Columns: Excel me jo vertical lines hoti hai use columns kaha jata hai.
Excel ki ek sheet me 16384 columns hote hai. Aur columns ko alphabet se represent karate hai. Jaise A,B….Z etc.




Cell: Excel me rectangle box hota hai use cell kaha jata hai. Cell ka address column aur rows ko milakar hota hai jaise D9, F28 etc.


To dosto ye to ho gaya excel ka introduction ab hum aage ki post me dekhenge ki excel ko kaise use karate hai. Agar is post me koi bhi problem ho to comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: