Computer Par WhatsApp Kaise Chalaye

Whatsapp computer par kaise use kare. Whatsapp ab download karake hum apne computer par bhi use kar sakate hai.

Computer Me Whatsapp Kaise Use Kare

Whatsapp ke bare me kiski ko batane ki jarurat nahi hai ki aaj ki duniya me whatsapp ka kya mahatva (importance) hai. Aaj duniya me whats app ke 100 corer se bhi Jayda user iska use kar rahe hai. Aur kayi log to 1 mobile me 2 whatsapp use karate hai.
Iske pahale whatsapp sirf Android operating system ke liye available tha lekin haal hi me whatsapp ne windows operating system ke liye bhi introduce kiya hai.
Kayi log jayada tar computer par work karate hai, to wo log sochate hai ki kyon na hum computer par hi whatsapp use kare.


Computer Par WhatsApp Kaise Use Kare:

Windows 7 Ke Liye:
Agar aapke pass windows 7 operating system aur aap us par whatsapp use karana chahate hai to niche di gayi steps ko follow kare.
Iske liye aapke pass 2 software hone jaruri hai.

1. Bluestack
Bluestack ye ek android emulator hai jiski help se hum koi bhi android application computer me chala sakate hai.




2. Whatsapp.apk
Aur whatsapp jo hum mobile me use karate hai wo uska backup.
Step 1:
sabse pahale aap bluestack ko download karke apne computer me install kare.

Step 2:
Ab bluestack ko start kare. Iske first time start hone me thoda time lagata hai.

Step 3:
Bluestack open kare aur jo search ka option hai usme whatsapp search kare.

search kare

Ab aapko whatsapp ka icon dekhayi dega uspe click karake install karle.

Install kare

Or
Aapka wo folder open kare jaha apne pahale se whatsapp download karke rakha hai. uspar double click karde. Ab whatsapp bluestack me install ho gaya hai.

Step 4:
Ab whatsapp start kare. Terms & condition ko accept kare. Apna mobile number dale.



Step 5:
Mobile number pe ek message aayega jiske me whatsapp ki taraf se ek code aayega wo code dalkar apna number verify karle.
Ab aapke windows 7 operating system me whatsapp install ho gaya hai ab aapko jab bhi whatsapp start karana hai sirf bluestack start kare aur whatsapp open kare.

Windows 8, 10 Ke Liye:
Windows 8, 10 par hum direct whatsapp ki executable file run kar sakate hai. islke liye hume koi bhi android emulator use karane ki jarurat nahi hai.
Whatsapp ne windows 8,10 me 32 bit, aur 64 bit ke liye official version launch kar diye hai jo app niche di gayi link se download kar sakte hai.



Yaha se download karke whatsapp ko install karle.
To aap is tarah simple tarike se apne laptop, computer me whatsapp use kar sakate hai. Agar aapko di gayi step me koi problem aa rahi hai to aap niche comment me bata sakate hai.
To is tarah ke latest updates pane ke liye apne keyboard se Ctrl + D press kare aur humari site ko bookmark karle.
Thanks for reading, and keep visiting site.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

6 comments:

  1. Mai blustecks install kiya hu pc wundows 7 kay koi problem ho sakta hai plese suugest me

    ReplyDelete
  2. @ Neyaj,

    Koi Problem nahi hogi.

    ReplyDelete
  3. window 8.1 me whatsaap aap open nahi ho rahi to kya kare

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Zala Harisinh,
      Error kya aa raha hai.

      Delete
  4. sir namste mai apane lepto me what's app calana chahata hu leki ek andoid phone ki awaskata padati to kya kare

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Nitesh,
      Aap Blue stack software se laptop me whastapp use kar sakate hai, uske liye mobile ki jarurat nahi hai.

      Delete