Agar aap ek YouTuber hai aur apne
mobile se YouTube ke liye best quality ke video record karana chahate hai to
aapko ye post jarur read karani chahiye.
Kayi sare log aaj YouTube par
channel banakar acchi kamayi karane me lage hue hai.
Agar aap bhi is tarah apna ek
channel banana chahate hai, aur usse acchi earning karana chahate hai to ye kam
apne mobile se bhi kar sakate hai. Aaj hum sab ke pass accha smartphone available
hai, aur isse hum kayi acchi video bana sakate hai. Iske liye hume jarurat hoti
hai, ek acche screen recorder software ki.
Google play store par kayi sare
screen recorder hume mil jate hai, lekin unme se sabhi acche hote hai, yesa
nahi aaj mai aapko ek best screen recorder application ke bare me batane ja
raha hu jisse hum apne mobile ki screen HD format me record kar sakate hai.
Android Mobile Ki Screen Kasie Record Kare:
A Z screen Recorder Application:
Features:
1. Best screen recorder application
hai.
2. Mobile root karane ki koi
jarurat nahi.
3. Recording ke Liye koi time
limit nahi hai, jitana chahe utna long video record kar sakate hai.
4. Free hai, watermark nahi aata
hai.
5. Isme hume ads bhi show nahi
hogi.
6. Record screen in HD or Full HD
format.
7. Video record karate samay touch
bhi record hoga jisse video dekhane walo ko samaj me aayega ki hum kis option
par click kar rahe hai.
8. Video edit bhi kar sakate hai,
ukse liye hume alag se plugin add karana hoga.
9. Audio bhi record kar sakate
hai.
Step 1:
Google play store open kare aur
waha A Z scree Recorder – No Root search kare.
Step 2:
Application ko download karke
install karle.
Step 3:
Hume play store se A Z screen
recorder ka plugin bhi download karana hoga wo bhi download karle.
Step 4:
Mobile se A Z screen recorder ko
start kare ab setting me jakar aap uski setting kar sakate hai.
E.g. Scree resolution, Audio
recording etc.
Step 5:
Jab hum A Z screen recorder start
karate hai tab mobile ke screen par sider bar se bhi hum isko operate kar
sakate hai. Video record karane ke liye jo video ka sign hai uspar click karana
hai.
Step 6:
Jab aapka video record ho jaye tab
recording stop karane ke liye mobile ka jo notification bar hai, waha se hum
recording pause, stop kar sakate hai.
Step 7:
Recording complete ho jane ke bad
hum isko edit kar sakate hai,
Editing me hum video par text add
kar sakate hai, Sticker add kar sakate hai, video crop kar sakate hai, audio
edit, add kar sakate hai.
Is tarah hum apne mobile se
behatarin video bana sakate hai.
Agar aapko is post se related koi sawal
ho to aap hume comment me puch sakate ahi.
Bro AZ Recoder app me video editing ke liye konsi app download karni padti hai
ReplyDelete@Umesh,
DeleteIske AZ Record Plugin ka app play store le lena padega.