Chori, ya khoya hua mobile ka pata
kaise lagaye uska location kaise track kare jisse hume uski Jankari mil jaye
iske bare me aaj mai aapko bataunga.
Kabhi kabhi humse humare
smartphone kahi kho jata hai, ya phir koi wo chori kar leta hai, yese me hum
bahut pareshan ho jate hai. To agar yesa ho jate to iske bad kya kare.
Mobile ko track karane ke liye play
store par kayi sare third party application hume mil jate hai, lekin inme se
kayi apps paid hai yane hume inko purchase karana hoga. Lekin mai aapko free
method ke bare me bataunga jisse aap apne khoye hue phone ko track kar sakate
hai, aur uska pata laga sakate hai.
Chori Hue Phone ka Pata Kaise Lagaye:
Agar aapke pass android operating
system wala smartphone hai to aapko usme ek Android Device Manager ka
built in function milata hai. Android device manager ek yesa option hai jisse
hum apne mobile ka location pata kar sakate hai, usko manage kar sakate hai.
Step 1:
Sabse pahale apne computer me
browser open kare aur usme http://www.google.com/android/devicemanager
Is address ko open kar le.
Step 2:
Open karane ke bad aapko waha par
aapke us gmail account se log in karana hoga jo aapne apne mobile me dala tha
jo chori hua hai.
Step 3:
Jaisi hi aap log in karoge aapko
aapke mobile ka name aur model number show hoga, aur sath me map bhi show hoga
jo aap niche dekh sakate hai.
Us map par aapko wo dikhayega ki
aapka mobile abhi kis location, jagah par hai.
(Lekin us samay aapke mobile par
internet connection on hoan jaruri hai.)
Step 4:
Aapke mobile name ke niche aur bhi
kuch option aapko dikhayi denge.
a) Ring:
Ye option isliye diya gaya hai, jisse
hum apne mobile ko ring de sakate hai.
b) Lock:
Lock option hume isliye diya gaya
hai kyon ki hum is option se apne mobile ko lock kar sakate hai. Device ko lock
karane ke liye hume usko new password set karana hota hai, usko bad humara jo
mobile hai wo lock ho jayega, aur password dalane ke bad hi uska lock screen
khulega. Agar aapka mobile kisi ke hath bhi lag jaye to wo usko khol nahi
payega.
c) Erase:
For security reason erase option
sabse khas hai. Hum apne mobile ka jitana bhi data hai usko ek click me erase
yane delete kar sakate hai.
Agar aapke mobile me aapke
important document, passwords save hai to erase option ki help se hum usko
delete kar sakate hai.
Lekin ye bat dhyan me rakhe ki
Lock, erase option ka use karane ke liye hume pahale apne mobile se android
device manage ko on karana hota hai. Aur ye kam hum tabhi karana hota jab
humare pass wo mobile ho. Agar aapne already ye option activate kar diya hai to
aap usko Lock, Erase kar sakate hai.
Android Device Manager ko on
karane ke liye mobile ki setting – Security – Device Administration me jake on
kar de.
Mobile Chori Hone ke Bad Kya Kare:
Bahut se log mobile chori hone ke
bad kuch bhi nahi karate hai wo waise hi usko chod dete hai, lekin ye laparwahi
mahangi pad sakati hai.
Mobile chori hone ke bad turant application likhkar usko apne nazdiki police station me submit kar de.
Sath hi aapke mobile me jo SIM Card
hai usko customer care se block karawa de.
To is prakar hum chori ya khoye
hue mobile ki location ka pata laga sakate hai.
Bahut Hi Achi Jankari Ki Post Share Ki Hai
ReplyDelete