MX Player Me Video Hide (Chupaye) Karane Ki Trick


MX Player me Video Kaise hide kare. Hum sabhi ke pass smartphone available hai aur unme 99% logo ke pass mx player media player hai.

Mx Player me Video Kaise Hide Kare

 Lekin kayi logo ke kuch important video hote hai, jo logo se private rakhana chahte hai, ya unko hide karana chahte hai, to is tarah mx player me video ko kaise hide kiya jata hai, iske bare me is post me aapko bataya hai.

MX Player Me Video Kaise Hide Kare:

Mx Player me video hide karane ka fayada ye hota hai, ki wo video hume waha show nahi hoga, lekin hume jab us video ko dekhana hai to usko hum dekh sakate hai.

Step 1:
Sabse pahale mx player ko open kare.


Step 2:
Jis video ko hide karana hai, usko click karo aur phir rename par click kare.

Rename


Step 3:
Ab us video ka name change karana hai, name se pahale (.) lagaye. Yane agar pahale humare video ka name hai,


Dot lagaye


“My song.Mp4” to usko kuch is prakar rename karana hai, “.My song.Mp4”. Aur ok kar de.


Step 4:
Ab aapka video hide ho jayega.

Hide Kiya Video Kaise Dekhe:

Jab aapko video dekhna hai to uske liye hume kuch steps follow karani hai.

Step 1:
Mx player ko open kare phir mx player ki setting ko open kare.

Mx player setting


Step 2:
Setting par click karane ke bad first number ka jo option hai List uspar click kare.
click on list


Step 3:
Mx player ki setting open ho chuki hai, usme se niche aapko “Show hidden files and folder” is option ko tick mark kar dena hai.
Show hidden files


Mx player video list ko refresh kare ab humara hide kiya hua video show hoga.
Jab aapka video dekhana ka complete ho jaye to phir se mx player ki setting me jakar show hidden files and folder option ko off kar de. Yesa karane se phir se wo video hide ho jayega.

Is simple is trick ko follow karake hum mx player me video ko hide kar sakate hai.
Agar aapne abhi tak ye trick try nahi ki hai to try karake jarur bataye. Aur aapke sujaw aur sawal comment me jarur puche.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: