साइबर क्राइम क्या है?Indian Cyber Law in Hindi

साइबर क्राइम क्या होता है ? Indian Cyber Law in Hindi, Indian Cyber Law In Hindi, IT ACT 2000 in Hindi. Dosto, Is post me aaj mai aapko batane wala hu cyber-crime aur uske laws ke bare me.

Cyber Law and IT ACT 2000

Aaj ka ugg internet ka use hai. Aaj har kisi ke pass smartphone, laptops, tablets hai unme 90 % logo ke internet maujud hai.
Aur kayi log roz internet use karate hai. Internet ke is ugg me utani hi teji se crimes bhi bad rahe hai. Ispar rok lagane ke liye India me IT Act 2000 laya gaya isme guna karane walo ko section ke hisaab se saja di jati hai.
Ye law cyber-crime aur e-commerce se related hai.




Cyber space kay hai?

Cyber space ek yesi vast term hai jisme hum internet, mobiles, software, e-commerce, ya online contract simple bhasha me electronic devices in sab chijo ka samavesh hota hai.




Cybercrime kya Hai?

Jab Koi Internet, Electronic devices, (jaise pen drives, and memory cards) use karke koi crime karata hai to use cyber-crime kaha jata hai.
Cyber Crime Me in chijo ka samavesh hota hai.

   1.    Hacking – Kisi ka account hack karana ya koshish karana.
                  Website hack karana ya koshish karana.
                  Kisi Ka software crack karana.

   2.    Stealing - Kisi Ke password ki chori karana

   3.    Virus – Virus Create karana aur kisi ko link send kar dena.

   4.    Pornography – Ashlil photo, video, babana, use internet pe dalana  

   5.    Intellectual Property – Yane Kisi Ne Khud Create Ki hui chij ko chori karana. Jaise Kisi Ne Khud se Logo, Music, Software, website create kiya hai to aap uski permission ke bager wo kahi par bhi use nahi kar sakate.

   6.    Sending Defamatory Email: Aap kisi ko bhi bina kisi vajah se harassment wale emails nahi send kar sakate.




Iseme aur bhi chije hai unka cyber-crime me samavesh hota hai.

IT ACT 2000 Kya Hai?


Cyber-crime par rok lagane ke liye IT Act 2000 banaya gaya hai. Isme her ek crime ke liye alag se fine (punishment) aur Imprisonment (jail) ho sakati hai.
IT Act 2000 me total 94 sections hai jine 19 chapter me divide kiya gaya hai.
IT Act pure India Me lagu hota hai.

IT ACT 2000 Ke Section Aur Penality :



Crime
Section
Punishment
1.Tempering with source code (Kisi ne banaye gaye software, project, ke source code ke sath chedchad)
65
Fine up to 2 lakhs and /or jail 3 sal tak
2. Hacking ( kisi ka account hack karana ya karane ki koshih karana )
66
Fine up to 5 lakhs and /or jail 3 sal tak
3. Receving stolen devieces (Kisi Ke chori kiye gaye mobile, pc , laptop ka use karana)
66 B
Fine up to 1 lakhs and /or jail 3 sal tak
4. using password or digital signature (Kisi ke password ki chori karana)
66 C
Fine up to 1 lakhs and /or jail 3 sal tak
5. Publishing Private Images (Kisi ki bhi private image facebook )

66 E
Fine up to 2 lakhs and /or jail 3 sal tak
6. Publishing Sexual Images
67 A
Fine up to 10 lakhs and /or jail 7 sal tak
7. Violation of Privacy
66 E
Fine up to 2 lakhs and /or jail 3 sal tak

Source: https://en.wikipedia.org/wiki/Information_Technology_Act,_2000




Yaha pe jake aap sabhi section ki puri details read kar sakate hai.

Also Read:

    ·        Gmail ki security kaise badaye

Whats App & Facebook Use Karate Samay Dyan Me Rakhe Ye Bate:

Aaj kal har koi whats aap aur facebook use karata hai par unhe ye malum nahi hota hai ki hume kya share karana hai aur kay nahi. Mai aapko kuch bate batata hu.

  1.    Kisi ka account hack karane ki koshih na kare. Aajkal har koi tricks dundata raheta hai ki kisi ki facebook id kaise hack kare, website kaise hack kare but unhe ye pata nahi ki yesi koshih karana bhi ek prakar ka cyber crime hai.

  2.    Kisi ki bhi permission liye bina uske photo, video ko aap whats app ya facebook par share na kare. Aajkal ke logo ko koi bhi chij shoot karke use whats app pe share karane me behat maza aata hai. Par aapki ye harkat mehgani pad sakati hai.

  3.    Aap whats app, facebook par offensive link ya photo, video share nahi kar sakate.

  4.    Koi yesa image, ya video ko share na kare jisme dharm ya religion ke realted badkau bhasha ho.

  5.    Kisi ke bhi pc, mobile, se data na le uski permission ke bina.

  6.    Facebook, whats app pe virus bhari link share na kare.




Asha karata hu ki ye information aapke kam ki hogi aur agge se aap ye dyan me rakahe ki whatsapp aur facebook kis tarah ke message send kar sakate hai aur uske nuksan ya fayde kya hai.


Agar aapko ye post acchi lagi ho to apne friend ke sath social media pe share karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

1 comment: