Voter Id Ke Liye Online Apply Kaise Kare

Voter id ke liye Online apply Kaise Kare? Voter id card ka kitana importance hai hum sub janate hai. Online Voter id card kaise banate hai aaj mai aapko bataunga.

Online Voter Id Card Kaise Banaye

Kisi bhi country me aapke khud ki pehachan batane liye kuch document banaye gaye hote hai. Jiski help se ye pata chal jata hai ki aap us country ke rahane wale hai. Humare India me Aadhaar card, aur Voting card, ye 2 sabse important document hai, jiska use hume har kahi par hota hai. Maine pahale hi bataya hai ki online aadhaar card kaise download kiya jata hai. Aaj hum is post me janenge ki online Voting card kaise banaya jata hai.


Voting Card Kaise Banate Hai?
Waise to aap voting card 2 parkar se bana sakate hai.
1. Offline aapke area ka jo election incharge hai uske pass form bharkar de sakate hai.
2. Online banava sakate hai.

Online Voting Card Ke Liye Documents:
Aapko kuch document ko upload karana padata hai. Isliye hume wo document scan karake upload karane hote hai.
1. Scanned Copy Of Passport Size Photo
Colour passport size photo
2. Scanned Copy Of Address Proof
Isme aap address proof ke taur par apna ration card, light bill, electricity bill de sakate hai.
3. Scanned Copy Of Identity Proof
Isme aap koi bhi yesa document de sakate hai jisse aapke identity Jahir ho example: Pan Card, Aadhaar card etc.



Online Kaise Apply Kare:

Step 1:
Sabse pahale aap National Voter Service Portal ki site pe chale jaye.

Step 2:
Site pe aapko Apply Online For registration of new voter pe click karna hai.
Ab aapke samane ek form hai usme hume apni sari details fill karani hai. Form hindi me isliye aapko easily samaj me aa jayega maine niche kuch information di hai jaha pe aapko dikkat aa sakati hai.
Sabse upar apna state select kare uske aage aapka parliamentary/assembly vibhag select kare.

New Registration Pe Click Kare


Step 3:
Applicant details me apni details fill karle e.g. apna name, date of birth, religion, birth place etc.

Step 4:
Particulars of place of present ordinary Residence (Full address)
Isme aapko pura address dena hai aur sath me mobile number aur email id bhi fill up karana hai.



Step 5:
Details of member(s) of applicant's family already included in the current electoral roll of the Constituency
Yaha pe aapko apne relative ke bare me information fill karani hai. Usme aapke relative ka naam, uske sath aapka kya relation hai wo, voting card ki details etc.

Apne Relative Ki Information Fill kare


Step 6:
Upload Supporting Document:
Isme maine jo upar document bataye hai wo yaha pe upload karane hai.

Document Upload Kare


Step 7:
Declaration:
Jis date ko aap form fill kar rahe hai wo date aur place select kare Save karke Submit pe click karde.
Form submit karane ke bad aapke mobile aur email id pe ek code aayega jiski help se hum aage humara application track kar sakate hai.



Voting Card Se Related Kuch FAQ’s:

1. Voting card ko apply karane ke liye kitni age chahiye?
-> Minimum Age 18+ honi chahiye.

2. Voting Card ke liye Kon apply kar sakata hai?
-> Koi bhi Indian jiski age 18+ hai.

3. Galat information fill kardi to kya hoga?
-> Agar aap kuch fraud, galat information fill karate hai to iske liye punishment hai. Ye ek crime hai.




4. Kya hum 1 se jayada voting card ke liye apply kar sakate hai?
-> Nahi ek se jayada voting card ke liye apply nahi kar sakate hai.

5. Agar form fill karate samay kuch Galati ho gayi to sudhar sakate hai kya?
-> Yes uske liye website pe link di gayi hai.

Agar iske alawa aapka koi sawal hai to aap comment me jarur puch sakate hai. Form fill karate samay agar kuch samaj nahi aa raha hai to wo bhi aap puch sakate hai.

Humari ye post aapko kaisi lagi jarur bataye. Humare latest updates ke liye Facebook page jarur like kare.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: