Android Mobile Ke Liye Free Download Manager

Hello, Dosto agar aap slow downloading speed ki wajah se pareshan hai to is post ko jarur read kare.aaj mai aapko ye bataunga ki android mobile ke liye free me koun se download manager hum use kar sakate hai.


Download Manager For Android



Download Manger Kya Hota Hai?

Download Manager ek software ya application hota hai jo design kiya gaya hai sirf files ko fastly download karane ke liye . Aap is software ki madad se files ko download, resume, pause kar sakate hai. Humare browser me inbuilt download manager hote hai but wo speed nahi dete hai aur to aur kayi browser files ko resume support nahi karate yane agar aapki file network problem se pause, ho jati hai to aapko wo phir se download karani padati hai.



Lekin download manager kya karata hai kitni bhi badi file ho uske chote chote part me divide karake download karata hai. Aur aap iske jariye files, ko resume, pause kar sakate hai.
Waise to aapko google play store pe kayi download manager mil jayenge but unme se top, best aur free ke download manager unke features ke sath niche diye hai.


Top Free Download Manager For Android:

1. Turbo Download Manager:

Turbo Download Manager
Turbo Download Manger Ye Badiya App hai jiski madad se aap kisi bhi files ko 5 time fastly download kar sakate hai apne regular browser ki hisab se. Ye app different HTTS Resuest ka use karata hai files ko fastly download karane ke liye. Aap is browser se files ko pause, resume bhi kar sakate hai.







Features:

1.  Kitani bhi badi file size ho aap download kar sakate hai.
2.  Files download ho jane ke bad notification.
3.  Download history check kar sakate hai.



2. Downloader:

Downloader
Is Download Manager ki madad se aap kisi bhi file ka url directly copy karake ke isme paste karake files ko download kar sakate hai. Isme bhi aapko resume, pause ki facility mil jayegi.

Features:

1. Download Multiple Files At a time.
2. Resume, Pause Facility
3. Support Google, yahoo, YouTube search.




3. Advanced Download Manager:

Ye bhi ek badiya download manager hai. Isko ADM bhi kaha jata hai. Ye kahi browser ko inbuilt support karata hai. Jaise Chrome agar aap chrome se koi files download karana chahate hai to wo directly is download manager se download kar sakate hai. Aapko file kaha save karani hai ye bhi aap choose kar sakate hai.




Features:

1. Sound and vibration notification download complete ho jane ke bad.
2. Resume aur pause facility
3. Support Lager Files




4. Download Manager:

Ye Sabhi files support karata hai jaise APK, RAR, ZIP, Mp3 etc.




Features:

1. Auto Suggestion from History
2. Ye java scripts, html 5 and videos ko support karata hai.
3. Download Manager aur File Manager Se Files Manage kar sakate hai.
4. Resume, Pause Facility is available.




5. Download Accelerator Plus:

Download Accelerator Plus
Ye bhi ek badiya download manager hai ye sabi files ko support karata hai. Ye kafi browser ko support karata hai. Jaise Firefox, chrome etc.

Features:

1. Multiple Files Download At a time.
2. Pause and Resume Support hai.
3. Smart Error handling.






To dosto isme se aap koi bhi download manager download karke use kar sakate hai. Jab aap koi hd movie download karate hai to use bade movie ka pause, resume karake aap easily download kar sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: