12वीं के बाद क्या करें -12th Ke Bad Kya Kare


12वीं के बाद क्या करें? 12th पास करने के बाद क्या करे, 12 के बाद क्या करें, 12 वीं जीव विज्ञान के बाद हमारे सामने करियर के क्या आप्शन है. 12th Ke Bad Kya Kare, 12th Commerce, Science, Art ke bad kya karana chahiye. 12th Ka Result Lag Ke Kuch Hi Din Ho Gaye hai. Ab jo students 12th ki exam pass ho gaye hai unke man me ye baad aati hai kya ab aage kya kare. Kaun sa course accha hoga, Kis me career kare? To Aaj is post me mai ye bataunga ki 12th ke baad kya kya kar sakate hai.

12th Ke Bad Career Options

Herek students ke jivan me 10th aur 12th ye career ki important stage hoti hai. Jo students in stage par sahi nirnaya lete hai wo jivan me success ho jate hai. Agar in stages me aapne koi galat nirnaya liya to aapki sari life bekar ho sakati hai.



Course Choose Karate Samay Apna Interest Dekhe

Aap jis me bhi career karana chahate wo to aap pe depend karata hai. Aap jo course karana chahate hai usse pahale ye jan le ki aapka interest kisme hai.
Aap sub ne 3 Idiots Movie to jarur dekhi hogi.Is movie me yahi bataya gaya hai ki humara jo interest hai wahi career hum chune to hum safal ho sakate hai. Aur agar dusari ki copy karane gaye to aap jivan me kabhi safal nahi ho sakate.

12Th Ke Baad Career Options:

12th me waise to 3 field hoti hai. Jaise Science, Art Aur Commerce to chaliye janate hai ki iske bad kya kya kar sakate hai.



12Th Science Ke Bad Career:
Agar aap 12th me science faculty se passout hue hai to phir aapke liye bahut sare career options hai. Science me basically 2 Groups hote hai. PCM (Physics, Chemistry, Mathematics) Aur PCB (Physics, Chemistry, Biology)
PCM (Physics, Chemistry, Mathematics) Group Wale Students Ke Liye:
Engineering (B.E): Chemical, Civil, Computer, Electrical, Electronic, Mechanical,
Printing, Plastic & polymer, Telecommunication, Textile
Information Technology (IT): Software Engineer, Web Developer, Multimedia Designer, Database Administrator
Hardware & Networking: Computer Hardware and Networking
B.sc: Bachelor of Science (3 Years Ki Degree)

PCB (Physics, Chemistry, Biology) Group Wale Students Ke Liye:
Is group se jo students pass out hue hai unka main career hota hai medical. Agar aap PCM Group se 80%-90% se passout ho jate hai to MBBS Me Career kar sakate hai. Uske liye aapko alag se Entrance Test bhi deni padati hai. Aur iske alawa bhi bahut sare course hai.
BAMS, BHMS, B.Sc. Nursing, B Pharmacy, D Pharmacy, BDS (Dentist)
B.sc: Bachelor of Science
BCS: Bachelor Of Computer Science
   

12Th Arts Wale Students Ke Liye Career Options:
Jin logo ne arts se 12th pass kiya hai unke liye bhi acche options hai.
Jaise B.A (Bachelor of Arts) ye 3 years ka degree course hai. Ye course aap kisi bhi university se complete kar sakate hai. Aur iske bad isme master (M.A) bhi kar sakate hai.

BCA: Bachelor Of Computer Application
BCA ye ek 3 years ka degree course hai. BCA ko ek professional course mana jata hai. BCA Me hume computer related sabhi knowledge mil jata hai. Jaise programming languages (C, C++, Java), Web designing (HTML, Asp.net, PHP). BCA complete karane ke baad aap MCA, MBA kar sakate hai.
BBA: Bachelor of Business Administration
BBA bhi same 3 years ka course hai iske bad aap MCA kar sakate hai.
LLB (Law): Aap Law me bhi career kar sakate hai.

12Th Commerce Wale Students Ke Liye Career Options:
Jin Students ne commerce passout kiya hai unke liye bhi acche career options available hai.
B.Com (Bachelor Of Commerce)
Aap commerce me graduation kar sakate hai. B.Com ye 3 years ka course hai. Ye course sabhi university me available hai. Isme bad me aap Master (M.Com) Kar sakate hai.
Banking Sectors: Commerce ke student’s ke liye banking sectors me bhi acche jobs available hai.
Aur bhi kuch badiya courses hai jaise CA (Chartered Accountant), BCA, LLB etc.



Government Job Competitive Exams Ke Jariye:

Agar aap government jobs chahate hai to iske liye aap 12th ke bad kisi bhi filed se graduation complete kar le. Aur graduation karate samay hi competitive exam ki taiyaari kare. Aur MPSC (Maharashtra Public Service Commission), UPSC (Union Public Service Commission) in exam ko try kar sakate hai.

UPSC ke throw aap IAS, IPS ban sakate hai. Agar aapko UPSC Ki puri details chahiye to aap UPSC ki official site pe jake dekh le.
MPSC ke throw aap PSI, STI ban sakate hai iski puri details aapko MPSC ki official site me mil jayegi.
To 12th ke baad aapko itne sare career options hai. But inme se aapko jisme intrest ho wahi course aap chune. Agar aapko iske bare me koi aur Jankari chahiye to niche comment me jarur bataye. Latest Updates ke liye humara Facebook page jarur like kare.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

14 comments:

  1. Sir maine 12 th pass ki h 72.4% se mujhe D pharmecy karna h iske liye mujhe kya karna hoga agr mai d phamecy private se du to ye shi hoga jyada tuff to nhi hoga

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Sam ali,
      Aap D.Pharmacy kar sakate hai, lekin aap pahale Government college ke liye try kare, agar usme admission na mile to private me bhi kar sakate hai koi problem nahi hai.

      Delete
  2. PCB leke music course kar sakte hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Pradum,
      Agar aapko Music me interest hai to Music Related course kar sakate hai.

      Delete
  3. sir mene 12th com 72% se pass ki h ab mujhe samajh ni aa raha h ki an m kya karu..

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Satyam,
      Upar details me bataya hai, aap aage B.com, M.com kar sakate hai.

      Delete
  4. Sir mene 10th 2013 me ki thi Aur 12th 2017 me bio se ki he
    Kya me ab koi course kar sakta hu

    Isse job me koi dikkat to nahi ayegi

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Mohseen,
      Kar sakate hai, koi problem nahi hogi.

      Delete
  5. Hello sair deepakyadav biology wala plastic ingunaring course kar shakta ha kaya

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Deepak Yadav,
      Biology se plastic Engineering nahi kar sakate.

      Delete
  6. Sir maine commerce without maths stream li hai but mere pass C++ subject hai to sir aap mujhe bataye ki mai after 12th kon sa course karu jo mere future k liye best ho. Please reply me.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Saheb,
      Computer se juda koi course kariye. Jaise BCA

      Delete
  7. SIR CID OFFICER KIS CLASS AUR KUN SE SUB KE BAD AAT HAI USME KINI HIGHT HOTI GIRLS KI IM PRIYANKA SHATRMA PLZ SIR BTAIYA PLZ


    ReplyDelete
  8. @Iske upar ek post jarur likhenge.

    ReplyDelete