Computer Me Folder and Files Ko Hide Kaise Kare,Computer Me File and Folder Ko Hide or Show Kaise Kare.
Hello, Dosto aaj mai aapko ek interesting trick batane jar raha hu. Ki Kaise hum apne computer me kisi bhi file ya folder ko hide kar sakate hai wo bhi bina kisi software ki madad liye bina.
Hello, Dosto aaj mai aapko ek interesting trick batane jar raha hu. Ki Kaise hum apne computer me kisi bhi file ya folder ko hide kar sakate hai wo bhi bina kisi software ki madad liye bina.
Kabhi kabhi kya
hota hai humare kuch files aur data bahut important hota hai. Aur ghar me agar
ek hi computer ho to ghar ke baki members bhi wahi computer use karate hai agar
galati se unse wo important files delete ya corrupt ho na jaye isika aapko dar
laga raheta hai. Par ab mai aapko yesi trick dunga jiski madad se aap kisi bhi
file ya folder ko hide kar sakate hai.
File Hide Karane Ke Fayade?
1. Aapki important files, aur data safe rahega.
2. Sirf aapko pata hai ki aapne files ko kaha par hide
kiya hai iski wajah se dusara koi bhi us files ko dekh nahi payega.
3. Aap jab chahe un files ko unhide kar ke dekha sakate
hai.
Kisi Bhi File/Folder Ko Kaise Hide Kare
Iske liye aapke pass windows 7, 8 ya 10 operating system
install honi chahiye.
Step 1:
Jis folder ko hide karana hai wo select kare.
Step 2:
Folder par right click kare aur properties pe click kare.
Step 3:
Phir Hidden option ko tick mark karle aur Apply and Ok
Button Pe click karde.
Step 4:
Agar us folder me aur subfolder honge to aapke samane aur
ek window open hogi jisme aapko aaply changes to this folder, subfolder and
files par click karke ok karde.
Step 5:
Ab right click kare refresh kare aapka folder hide ho
jayega. Ab us folder ko koi bhi dekh nahi payega.
Folder Ko Unhide Kaise Kare
Agar aapko us folder me ki kuch files dekhani hai to
aapko us folder ko unhide karana padata hai iske liye aapke pass 2 methods hai
usme se kon si bhi ek method use kare.
Method 1:
Step 1:
My computer pe click kare. Uske bad upar organize pe
click kare. Bad me folder and search option pe click karana hai.
Step 2:
Folder option me view pe click kare. Niche show hidden,
files and folder, drives par click karke apply aur ok karde.
Ab aapne jis folder ko hide kiya tha us files ko
properties me jake unhide karde. Aapka hidden folder show hone lagega.
Method 2:
Aap hidden files ko control panel me se bhi show karawa
sakate hai. Uske liye aapko niche ki step follow karani hai.
Start ->Control Panel -> Appearance and
Personalization-> Folder Options -> View->Show hidden files, folders
or drives-> Apply -> Ok
Is tarah hum kisi bhi file aur folder ko unhide kar sakate
hai.
To aapko ye trick kaisi lagi comment me jarur bataye. Aur
agar aapke pass bhi koi trick hai aur aap humare sath share karana chahate hai
to guest post ke jarur read kare. Aapki post humari site pe publish kar di
jayegi.
Aapko computer se related koi bhi problem ho to wo bhi
comment me jarur bataye hum us problem ko solve karane ki puri koshish karenge.
0 Comments: