Top 10 Most Important Software Installed On Your New Computer



New Computer khridane ke bad apne computer me ye top 10 software jarur install hone chahiye.

New Computer Me Ye Top 10 Software Jarur Install Kare

Jab hum new computer kharidate tab hume ye malum nahi hota hai ki ab koun koun se software ki jarurat hume padegi to is post me aapko mai yahi bataunga ki her ek user ko in software’s ki jarurat padati hai.
Ye software sabhi operating system me work karenge chahe wo windows xp, windows 7, 8, ya phir windows 10 ho.

Top 10 Software Jo Aapke PC Me Install Hone Chahiye:

Microsoft office ye sabse important software hai. Isme aapko word, excel, power point, outlook, access, excel ye application aate hai.
Hume jab bhi official work, typing karana hota hai to word, aur excel ka kafi use hota hai. Aap Office ka koi bhi version use kar sakate hai.
MS-Word 2007, 10, 13 inme se aap koi bhi version use kar sakate hai. MS-word 2013 ka latest version hai.


2. VLC Media Player / KM Player:
New computer lene ke bad humare computer me videos, movies dekhane ke liye VLC media Player ya KM player ki jarurat padati hai. Ye sabse popular software hai jisme hum videos ke sabhi format dekh sakate hai.
Full HD, MKV, AVI yese sabhi latest formats ke movies, videos hum in softwares ke help se dekh sakate hai. Ye software agar humare pc nahi honge to windows media player jo inbuilt hota hai usme MKV, jaise format support nahi karata hai. Isliye 2 me se koi bhi ek media player jarur install karle.


C cleaner ke bare me kayi log nahi janate hai lekin ye bahut important software hai.
C cleaner ka use temporary files, Browser cache, history, cookies, in files ko clear karane me hota hai. Jisse aapka computer fast work karata hai.
C Cleaner ki help se hum softwares bhi uninstall kar sakate hai. Sath me start up programs ko enable aur disable bhi kar sakate hai.


4. Win RAR:
Win rar software ka bhi bahut hi importance hai. Jab bhi hum koi file internet se download karate hai tab jayadatar files compress ki gayi hoti hai. To un files ko extract karane ke liye win rar software ka use hota hai.
Aur agar aapko email me kuch files attach karake send karani hai tab bhi files ko compress karane ke liye winrar ka use hota hai.



5. Browser (Google Chrome, Firefox):
Agar aapko computer me internet use karana hai to browser ki jarur hoti hai. Waise to operating system install karane ke bad inbuilt internet explorer browser hota hai, but ye browser old hai isme kayi websites, flash, animation work nahi karate hai.
Isliye interent securely browse karane ke liye aapko google chrome ya Firefox inme se koi bhi ek browser install kare. Aap in browser ka latest version download kare.


Jab bhi hum internet se koi pdf files, ebook download karate hai to use read karane ke liye hume adobe reader ko jarurat padati hai. Isliye humare computer me adobe reader install karana jaruri hai.



7. Picasa:
Aapne isee pahale iska naam to jarur suna hoga agar nahi to mai aapko bata deta hu. Picasa ye ek photo viewer hai jo google ne develop kiya hai, jiski help se hum apni images dekh sakate hai. Picasa se hum images ko edit kar sakate hai. Images dekhate samay zoom, slide show karke dekh sakate hai.
Images ko edit karake uski movie bana sakate hai.

8. Antivirus:
Antivirus software humare pc ke sabse important hai. Humare computer me jo data hota hai bahut hi important hota hai agar pc me virus chala aaye to ye data corrupt ho sakata hai. Isliye pc me antivirus software jarur install hona chahiye.
Waise to aap paid antivirus software use kare aapko paid antivirus Rs.500-1000 me mil jayega.
Agar aap free antivirus use karana chahate hai to maine top free antivirus ki list di hai waha se aap download kare.


Jab hume internet se large files download karani hoti hai tab hum regular browser me ye nahi kar sakate hai. kyon ki default browser me download files ko resume, pause support nahi karata hai. Lekin internet download manager sabse popular download manager hai isme aap kitni bhi badi file download kar sakate hai. Agar internet problem aaye to files ko resume, pause bhi kar sakate hai.



10. Skype:
Skype ka naam to aapne suna hi hoga. Agar hume internet pe hume kisi ke sath video chatting karana chahate hai to uske liye skype software ka use hota hai. Is software ko download karke uspar account create kare aur id banakar friends ke sath video chat kare.
To ye software ki list ho gayi jo new computer buy karane ke bad aapko apne computer me install karane chahiye. Maine ye list sabhi user ke work ko dyan me rakhate hue banayi hai aap apne hisaab se inme se aapke jo kam ke software hai wo install kare.

I hope aapko ye post jarur acchi lagi hogi. Aapke suggestion aur Feedback comment me jarur bataye.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: