State Bank of India Ki Internet
Banking se Quick money kaise transfer kiya jata hai iske bare me
janate hai. Isme hume beneficiary add karane ki jarurat nahi hai.
SBI Internet banking ki help se
hum NEFT, RTGS through money transfer kar sakate hai, but iske liye hume pahale beneficiary
add karana padata hai.
Jab hum beneficiary add karate hai
tab wo approve hone me 1-2 hours ka time lagata hai, approval ke bad hi hum
money transfer kar sakate hai.
Lekin quick money transfer ki help
se hum fastly money transfer kar sakate hai.
SBI Quick Money Transfer Karate
samay Kuch bate dhyan me rakhe:
1. Quick money transfer ki help se
hum per day hum Rs.5000 hi transfer kar sakate hai.
2. Jisko money transfer karana
chahate hai, uska Name, Account number aur agar wo dusare bank ka ho to uska
IFSC code jaruri hota hai.
How to Use SBI Quick Money Transfer:
Step 1:
SBI ki official website pe chale
jaye. Aur apne internet banking ke account me login in kare.
Step 2:
Menu me se Payment/Transfer
Option pe click kare.
Step 3:
Uske bad humare samane money
transfer ke kafi sare option honge unme se “
“Quick Money Transfer without
adding beneficiary new “ is option
pe click kare.
Step 5:
Ab hume jisko money transfer karani
hai, yane beneficiary uski details fill karanhi hai.
Pahale Hum within SBI dekhate hai.
Yane jisko paise send karane hai uska bhi account sbi ka hi hona jaruri hai.
Beneficiary Name: Jiko
paise transfer karane hai uska name dale.
Beneficiary Account Number: Yaha pe jisko paise transfer karane hai uska
account number add kare.
Payment option: with Sbi
(Agar beneficiary ka account sbi ka hai to ye option select kare.
Amount: yaha pe
kitani money transfer karani hai wo dale.
Purpose: Yane aap
kis wajah se paise transfer kar rahe hai wo SBI ko pata hona chahaiye aap yaha
se apne hisab se option select kare.
Terms & condition ko accept
kare aur submit pe click kare.
Agar beneficiary ka account dusare
bank ka ho yane Interbank to niche ki tarah information fill kare waha
pe hume extra
IFSC Code aur Transfer mode select
karana hai. Transfer mode me se NEFT ya RTGS select kare.
Step 6:
Next screen me hume puri details
yane beneficiary ka name, account number, aur transfer ke liye tax kitna lagea
wo show hoga phir niche submit pe click kare.
Step 7:
Submit pe click karane ke bad hume
high security password pucha jayega, jo aapke registered mobile number
pe aayega. Yane ye ek OTP hi hota hai.
Password dalane ke bad confirm pe
click kare.
Within some time aapki money
transfer ho jayegi.
Upar di gayi kisi step me aapko
koi problem ho to aap hume comment me puch sakate hai.
0 Comments: