Hello, Blogger aaj hum janenge ki keyword ho hume blog post me kaha
use krarana hai. Bahut se new blogger confuse ho jate hai ya unhe pata hi nahi
hota hai keyword ko blog post me kaha use karana hai.
To agar aap apne blog ke liye high traffic chahate hai to aapko ye jarur pata hona chahiye ki keyword ko kaha use karana hai.
To agar aap apne blog ke liye high traffic chahate hai to aapko ye jarur pata hona chahiye ki keyword ko kaha use karana hai.
Proper Keyword Na Use Karane Se Kya Hoga:
Agar blog post me proper keyword na use
kare to aapki post kitnai bhi acchi kyon na ho wo seo friendly nahi hogi jsse
aapko search engine se jayada traffic nahi milegi. Aur agar keywords ko tik
jagah bhi na use karane se bhi traffic par bada asar padata hai. Keyword ka
proper use na hone se aapko traffic nahi milati. So use proper keywords in the
post.
Keyword Ko Add Karake Blog Post ko Kaise Optimize Kare:
10 Me Se 8 Log aapke blog ke title ko dekhakar hi blog post ko
padhana pasand karate hai. Lekin keywords add karane ki bhi limit hoti hai, hum
apne blog post me 2% se jayada keywords nahi use kar sakate. Kuch logo yesa sochate hai ki jayada
keywords use karenge to Jayda traffic milegi leking yesa nahi hai. To keywords
kaha use karane hai mai aaj aapko bataunga.
Maine upar bataya ki bahut se log aapke title ko padakar hi post ko
padhana pasand karate hai. To aapko kya karana hai pane post ke title me
keywords use karane hai uski sath post title ko unique rakhana hai. Post title
me hum Jayda se Jayda 70 Characters use kar sakate hai agar ise Jayda use kiye
to aapki post ko search engine ignore kar denge.
Aur aapko apni post me heading use karani chahiye aur usme aapko
keyowords hi use karane chahiye. Ise aapko serach engine aur social networking
site se traffic milane me madad milegi.
High quality, targeted keyword ko use karane ka 2 ways hai. Blog post ke URL me jise permalink kaha jata hai waha bhi aap target keyword use kar sakate hai. Jise search engine se aapko traffic milane me madad milegi.
Agar aap manually permalink nahi add karate to permalink blog ke title ke anusar create ho jati hai. Aur agar aap manually permalink ko add karana chahate hai to blog post editor me chale jaye aapko right hand side me custom permalink ka option dikhayi dega uspe click kare aur waha url add kare.
e.g seo-optimization-blog-post-keyword
Post Labels bhi blog ki traffic badane me kafi important hote hai.
Agar aapne robots.txt me label search ko allow kar diya hai to search engine aapke
blog me se label ke jariye bhi post ko index karata hai. To isliye labels jo
use kar rahe hai to targeted keywords ho.
Jaise Make Money, Google AdSense, SEO, Blogging yese targeted
keyword hi use kare.
Post me label jarur add kare bina label ke post ko publish na kare.
Apne site pe har post ko label na banaye Jayda Jayda se 25-30 label
use kare. Isse Jayda use karenge to user conflict ho jata hai. Site pe label
use karane se user ko navigate karane me bhi madad milati hai.
Hum sab janate hai ki kisi bhi topic ko acchi tarah se samajane ke
liye images kitni jaruri hoti hai. Images ka use karane se user attract ho jata
hai aur apke site par jayad se Jayda rukana pasand karata hai. Isliye hum apne
post me post realted kum se kum 1 image jarur use karani chahiye.
Images me hum to alt tag aur title tag ka use karate hai usme bhi
hume targeted keywords ka use karana hai lekin keywords post se related hone
jaruri hai. Agar aapki post me kuch aur hai aur aap images ki alt tag kuch aur
use kar rahe hai to use black hat seo mana jata hai.
Blog me seo images optimization kaise use karate hai aap yaha se read kar sakate hai.
Blog post ke shuruwat me first 4-5 line ka jo paragraph hai waha pe
keyword add kare. Phir apni puri post me bhi keyword ka use kare.
SEO ke hisab se keywords ko first aur last paragraphs me use karana
bahut hi important mana jata hai yesa karane se post ko easily search me laya
ja sakata hai.
Agar aap chahate hai aapki post ko search engine se acchi traffic
mile to aap apne readers ke liye comment policy bana le. Jise user post se realated
comment karega. Aur aap jab readers ko reply denge to aap usme post me jo
keywords hai wahi use kare.
Aap ko jaha pe jarurat hai waha post me high ranked keyword use
kare. Par dyan rakhe ki bar bar aap wahi keyword use nahi kar sakate. Post me
post se related hi keyword ka use karana hoga.
Agar aapne blog ki post description on nahi kiya to is post ke padhakar
jan le ki blog me blogpost description kaise shuru kare. Post likhate samay ya bhi dyan me rakhe
ki post ki search description me bhi 1-3 keywords jarur add kare.
Final Word: Dosto aap ek hi post me Jayda keyword na
use kare. Ise aapko koi fayada nahi hoga. Aapko post likhate samay keyword
density pe bhi dyan dena jaruri hai. Yane aap apni puri post me 2% se Jayda keywords
nahi use kar sakate.
To dosto aaj humane jana ki keyword ko blog post me properly kaha
use kare. To aap samaz gaye honge ki hum post ko kaise seo friendly bana sakate
hai keyword use karke.
Aasha karata hu ki aapko ye post acchi lagi hogi agar isme aapko
koi problem ya phir aapka koi suggestion ho to niche comment karana na bhule.
Happy Blogging J
0 Comments: