Android
Operating System aaj ki sabse popular smartphone ki operating system hai.
Android mobile aaj kal har kisi pass hai aur usme jo data hota hai wo bahut
important hota hai.
To is important data ko safe rakhane ke liye aapke mobile me antivirus software hona jaruri hai. Iski madad se aap chori hue mobile ko bhi dund sakate hai. To chaliye aaj mai aapko top free antivirus software ke bare me batata hu.
To is important data ko safe rakhane ke liye aapke mobile me antivirus software hona jaruri hai. Iski madad se aap chori hue mobile ko bhi dund sakate hai. To chaliye aaj mai aapko top free antivirus software ke bare me batata hu.
Virus Kya Hota Hai?
Virus ek code
ya self-generated code hota hai. Jo aapke data ko crash, corrupt ya delete kar
deta hai. Is prakar ke virus aapke mobile me kisi website ya kisi jagah aap
mobile connect karate hai waha se chala aata hai. To ise apne mobile se
nikalane (remove) ke liye antivirus software install karana jaruri hai.
Best Free Antivirus Software:
Waise to aapko
google play store pe hundreds of antivirus software mil jayenge lekin to inme
se koun se acche hai aur kon se nahi inke bare me aapko pata nahi hota. Isliye
maine top most antivirus software niche diye hai. In softwares ko intall karane
ke bad ye aapke mobile ko scan karake appke mobile me se virus, malware remove
kar denge.
List of Best
Free Antivirus Software’s of 2016
1. Avast!
Mobile Security
2. AVG
Antivirus Security
3. Norton Security
antivirus
4. Kaspersky
Internet Security
5. Avira Antivirus
Security
6. Bitdefender
Mobile Security & Antivirus
7. 360 Security
Antivirus
1. Avast!
Mobile Security:
Avast ye ek sabse popular antivirus software hai jo bahut se platform ke liye available hai shayad aap me se kayi log apne pc me iska use karate honge.
Features:
o
Free of cost.
o
Mobile, pc dono ke liye available hai.
2. AVG
Antivirus Security:
AVG antivirus
bhi ek popular software hai. AVG Security apke Android device ko
viruses, malware, and spyware ko remove kar deta hai. AVG Antiviurs bahut
popular hone ki wajah se ye do version me milata hai. Free version aur paid
version, par free version me wo sabhi basic feature milate hai jo ek smart
phone ke liye jaruri hote hai.
3. Norton Security antivirus
Norton ye
internet ke duniya ka sabse popular brand hai. Bahut sare log apne pc me Norton
antivirus use karate hai. Iske bhi do version ata hai paid aur free. Aap paid
version ka 30 din ka free trial use kar sakate hai.
Aur free
version me bhi aapko basic feature milate hai jaise
Features:
o
Anti-malware
o
Antitheft features
o
Web protection
o
Call & SMS blocking
o
Chori hue phone ko sms se lock kar
sakate hai.
4. Kaspersky Internet Security:
Kaspersky ye
new antivirus hai but isme bahut sare latest features ke sath ata hai.
Features:
o
Anti-malware Protection
o
Web Protection
o
Anti-Theft Protection
o
Privacy Protection
o
Call & Text Filter5. Avira Antivirus Security:
Avira antivirus
software smartphone, tablet ke liye available hai.
Features:
o
Virus Scan Karata hai.
o
Chori Hua Phone Find kar sakate hai.
o
Photos, Sms Chori Hone Se Protection
Se Deta Hai.
o
Battery power Save Karane Me madad
karata hai
6. Bitdefender Mobile Security & Antivirus:
Ye bhi ek accha
software hai. Bitdefender ke bahut sare version available hai usme se koi bhi free
version aap le sakate hai jisme sabi features aapko mil jayenge.
Features:
o
Anti-virus scanner
o
Antimalware scanner
o
Anti-phishing
7. 360 Security
Antivirus:
Ye bhi ek
badiya app hai mobile ke liye maine ye software apne laptop ke liye use karake
dekha hai bahut accha result hai iska.
Features:
o
Virus Scanner
o
Real Time Protection
To dosto inme
se koi bhi aaps ko aap download karke apne mobile me install kar sakate hai.
Note: Antivirus software ko kum se kum 15-20 din me update karana jaruri
hota hai. Kyon ki jo apps banane wale hote hai wo us me new database updates
karate rahate hai. Jise agar koi virus naya aaya hoga to bhi wo remove kar diya
jayega.
Agar iske alawa
agar aapke pass bhi koi behatarin antivirus software hai aur aap wo use karate
hai to niche comment me batana na bhule.
0 Comments: