Hello, dosto aaj hum bat karane
ja rahe hai android mobile ki battery life kaise save kare. Bahut se android
user ki battery bahut jald khatam ho jati hai iske liye mai aaj aapko kuch tips
dene ja raha hu jisse aap kisi bhi android mobile ki battery life bad jayegi.
To chaliye janate hai ki kaise hum android mobile ki battery life bada sakate
ha.
Save Battery Life Of Your Android Mobile:
Bahut se log apne mobile par
live wallpaper use karana pasand karate hai. Par yesa karane se aapke mobile ki
battery bahut jald khatam ho jati hai. Internet par bahut se live wallpaper
free me mil jate hai wo mobile me dikhate to acche hai par unme animation hone
ko wajah se battery bahut lagati hai.
Apne mobile me simple wallpaper
ka use kare.
Bahut log kya karate hai ki ek
bar mobile data on kar diya to phir wo band nahi karate ise bhi aapki battery
life kum hoti hai. Jab aapko jarurat ho tab hi mobile data on kare aur jab kam
khatam ho jaye tab use off kar de.
Jab aapko jarurat hai tab hi
wifi shuru kare aur kam ho jane ke bad wifi off karana na bhule. Ise aapke
mobile ke battery life bad jayegi.
Jab aap new mobile kharidate hai
to screen lock hone ka time by default 1 minute ka hota hai. Par aap uske kum
karake 15 seconds ya phir 20 seconds ka kar de ise aapki kafi power save ho
jayegi.
Smartphone me brightness ka
battery power par kafi farak padata hai. Apne smartphone me brightness ko
adjust karate rahe jab jarurat ho tabi full brightness use kare. Jaise aap
videos dekh rahe hai tab aap full brightness use kar sakate hai aur other times
me brightness ko 50%, 60% use kar sakate hai ise aapki kafi power save ho
jayegi.
Aapke screen par kafi bina kam
ke widget hote hai use aap remove kar de.
Aap apne mobile ki setting me
jakar dekhe ki konse aap background me work kar rahe hai aur jo aaps aapke kam
ke nahi hai use waha se disable kar de.
Agar aap koi application use
nahi karate hai to setting me jakar use aaps ko uninstall kar de. Kayi log kya
kar dete hai ek bar agar koi aaplication install kar diya to uska use ho ya na
ho use mobile me hi install rakhate hai ye bad habbit hai.
Aap apne mobile ki setting me
jakar dekhe ki Jayda power kis chiz ke liye use ho rahi hai. Setting Me aapko
Battery ye option mil jayega. Waha se aap koun se aaplicaton aur feature kitni
power use kar rahe hai dekhakar use control kar sakate hai.
Bahut se new smartphone me ye
facility di gayi hai. Aapke phone me ek power saving mode ka option diya gaya
hai agar aap wo use karate ho to sirf apke phone ke basic features hi on
rahenge jaise call receive karana, call karana, message send ya receive karane
etc. Power saving mode on karane se apki battery kafi time tak chalegi.
Agar aapka mobile ki battery
pahale 5-6 hours tak chalati thi agar aap is tips ko follow karate hai to aapko
battery 7-8 hours tak work karegi. Is tips ko use karane par aapke mobile phone
ki battery life jarur padegi try karake jarur dekhe aur niche comment me batana
ki aapki battery life kitani bad gayi hai.
0 Comments: