Paytm से ऑनलाइन रिचार्ज कैसे करे. Paytm Se Mobile Recharge Kaise Kare. paytm से रिचार्ज कैसे करे. Dosto aaj mai aapko ek yesi site ke bare me batane ja raha hu jisse aap online mobile recharge, dist tv recharge, movies ticket booking aur shopping bhi kar sakate hai. Us site ka naam hai Paytm aaj hum janege ki Paytm par account kaise banate hai. Paytm Promo codes kya hote hai aur promo codes ka use kaise karate hai.
Paytm Kya Hai?
Paytm ye ek
e-wallet hai jiski madad se hum online
recharge, bill payment, online shopping aur bus, railway ki tickets
bhi books kar sakate hai. Paytm ka android aap 1 crore se bhi jayada logo ne
download kiya hai. Paytm aaj India Ka top most e-wallet hai. Paytm ka Alexa
Rank 28 hai to sochiye ki paytm kitna popular hai. Paytm ke CEO Vijay Shekhar Sharma Ki Success Story from Zero to Hero Kaise bane aap yaha padh
sakate hai.
Paytm Promo Code Kya Hota Hai:
Paytm Promo
code yane ek koi code hota hai agar aap recharge karate samay ye code use
karate hai to aapko recharge me discount milata hai. Jaise agar aap 100 ka recharge
kar rahe hai to aapne PAYTMKARO ye promo code use kiya to aapko 10% aapke
account me jama ho jayenge. Yane Rs.10 aapko fayda ho jayega.
Paytm aaj
isliye top most par hai kyon ko wo bahut sare discount offer deta hai.
Paytm Par Account Kaise Banaye?
Paytm par
account banane ke liye aapko email id aur mobile number ki jarurat hogi aur recharge karate samay ATM Card, Internet Banking ka account hona jaruri hai.
Step
1:
Yaha se https://paytm.com/ ki site par chale jaye.
Step
2:
Login/Signup pe
click kare. Aage sign up pe click kare.
Step
3:
Apna Mobile
Nuber, Email id aur password dale aur Create your paytm wallet pe click kare.
Step
4:
Mobile Number
pe ek OTP aa jayega wo dale aur Apna Pura name dale male, female select kare
aur create your paytm wallet pe click kare. Aapka paytm wallet taiyar hai.
Pyatm Account Me Paise Kaise Add Kare
Step
1:
Phir login pe
click kare apan mobile number aur password dalkar login pe click kare. Uske bad
aapke mobile number pe ek OTP aayega use dalkar login kare.
Step
2:
Ab aapko apke
account me paise add karane honge. Paise add karane ke liye right corner pe
your wallet pe click kare.
Step
3:
Uske bad aapko
kitni amount dalani hai wo dale aur agar paise add karate samay koi promo code
hai to aaply kare nahi hai to aage add money to wallet pe click kare.
Step 4:
Phir aapko
paise add karane ke liye ATM, Ya net banking select kare apni card ke details
dale aur pay now pe click kare.
Step
5:
Aage aapko ATM
ka pin dalna hoga aur agar net banking ka account hoi to uska user name aur password dalkar login kare.
Aapke paytm account me paise add ho jayenge. Paise add karate hi aapko message
aa jayega.
Paytm Se Mobile Recharge Kaise Kare
Step
1:
Home pa click
kare => mobile select kare=> Prepaid ya postpaid select kare =>
Operator select kare => Recharge Amount Dale => Processed to Recharge pe
click kare.
Step 2:
Phir aage aapko
enter promo code me code dalna hai maine PAYTMKARO dala hai jise mujhe 10%
Cashback milega.
Step 3:
Promo code agar
barabar hai to promo code applied ka message dikhayi dega, aur kitana cashback
milega wo bhi niche dikhayi dega niche screenshot dekhe.
Step 4:
Processed to
pay par click kare. Aur finally pay now pe click kare. Kuch hi seconds ke under
aapka recharge ho jayega. Aur aapka cashback within 5-10 minutes ke under aapke
account me jama ho jayega.
Paytm Promo Codes:
Paytm ke promo
code har 4-5 din me update hote rahate hai. Ye post me 30/05/2016 ko likh raha
hu ab aap niche diye gaye promo code use kar sakate hai
1. PAYTMKARO –
10 % Cashback on mobile recharge, bill payments, ticket booking etc.
2. LAKHPATI –
Chance to win 1 lakh recharge winner 48 hours me paytm ki site pe announce kiya
jayega.
3. GRAB200 – 4%
Cashback on recharge and bill payments.
Continue use
hone wale Promo Codes:
IDEA5 – 5 %
cashback idea ke recharge pe
VODA5 - 5 %
cashback vodafone ke recharge pe
DTH5 - 5 %
cashback dish ke recharge pe
To dosto aaj
humane sikha ki kaise paytm par account banate hai, usme amount kaise add
karate hai aur apna mobile recharge kaise karate hai agar isme aapko koi bhi
pareshani ho to niche comment karana na bhule.
Agar sir hum idea number par recharge kare to promo code IDEA5 dale ya phir PAYTMKARO bhi dal sakte hai
ReplyDelete@ Sanjay ji aaj ka date ka jo working promo code hai, wo aap dal sakate hai, chahe recharge kisi bhi card ka ho.
DeleteAger hum koi apps use kar rahe hai jisme paise earn hote hai ager vo paise paytm me add karne ho to kese karenge ?
ReplyDelete@ Kaushal jis application se aap paise earn kar rahe hai, waha pe aapka paytm ka number dena hai.
Delete