BCA Kya Hai- बी.सी.ए क्या है,? Qualification, Criteria, Syllabus

BCA Kya Hai- बी.सी.ए क्या है, 12th के बाद BCA. BCA Yane Bachelor of Computer Application. Ye ek 3 Years ka Graduation Course hai. BCA Karane ke baad aapke pass bahut se acchi choice hai aage aap MBA, Ya MCA Karke ek acchi job pa sakate hai.

BCA Kya Hai

BCA Kya Hai- बी.सी.ए क्या है, Agar aapko internet, computer aur information technology me dilchaspi hai to aapko BCA jarur kare. BCA Kya hota hai, iske liye kya educational criteria chaiye future me iske liye scope hai kya ye sabhi aaj hum is post me dekhenge.

BCA Course Details:

BCA ka matlab hai Bachelor of Computer Application. Ye ek 3 years ka graduation course hai jo har ki lagbag her ek University me available hai. Ye course un logo ke liye hai jo apna career computer field me banana chahate hai. Aap BCA Karke software developer, web designer, ban sakate hai. Aur kisi acchi multinational company me job kar sakate hai.




BCA Karane Ke Liye Kya Qualification Chahiye:
Agar aap BCA karana chahate hai to aapke ye malum hona chahiye ki iske liye aapka kya education hona jaruri hai.
Kisi bhi university me BCA karane ke liye same hi educational criteria hai.
1. Aap minimum 50% ke sath 12th pass hone chahiye. Iske liye aap kisi bhi faculty se ho koi pareshani nahi hai.
2. Commerce, Science, Aur Arts in me se kisi bhi faculty ka student BCA Kar Sakata Hai.



BCA Subjects and Syllabus Details:

BCA ka syllabus total English Language me hai. BCA totally computer related hai isliye isme sabhi comuter se related hi subject honge.
BCA ka syllabus sabhi University me alag alag design kiya gaya hai. Par 90% syllabus same hi hota hai.


Main Subjects
Computer Basics:
Aapko computer ke bare me kuch bhi pata nahi hai to aapko yaha se computer se related sabhi basic sikhane ko mil jate hai. Jaise computer hardware, Microsoft office etc.
Programming Languages:
Programming languages isme aapko C, C++, VB.NET, C# , JAVA is tarah ki kuch languages sikhane ko milegi. In languages ki madad se hum operating system, games bana sakate hai.
Web Designing and Development:
Agar aapko website banana me interest hai to aap in subjects ko dyan se study kare. Isme aapko HTML, CSS, Java script, PHP, XML, ASP.NET is tarah ki web designing ke languages sikhane ko milegi.
Databases:
Aapko isme databases bhi learn karane ko milate hai. E.g. MySQL, Oracle

BCA Ke Baad Kya Kare (Future Scope):
Bca complete karane ke bad aapke samane bahut sare option hote hai. Agar aap aage jake aur padhana chahte hai to aapke liye niche di gayi choice available hai.
1. Aap MBA (Master of Business Administration) kar sakate hai.
2. MCA (Master of Computer Application) bhi kar sakte hai.
3. Competitive exams ki taiyari kar sakate hai.

BCA Ke Baad Jobs and Salary:

Agar aap bca karane ka bad job karana chahte hai to kar sakate hai.
Agar aapne admission ek acche college me li hai to waha pe campus interview conduct kiye jate hai jab aap final year me hote hai tab aap interview face karenge to aapka graduation complete hone se pahale hi aapke hath me job hogi.
Agar aapke college me campus interview nahi hote hai to bhi koi baat nahi aap acchi company me job ke liye try kar sakate hai jaise Wipro, Tech Mahindra, TCS, Infosys.

    -> Software Engineer Kaise Bane

Ye kuch IT companies hai to computer graduate ke liye interview conduct karati hai. Jisme aapko 20000 se 30000 tak salary mil sakat hai.
Agar aapke pass knowledge hai to phir apni khud ki team banakar aap apni khud ki choti si software company start kar sakate hai. Jisme aap logo ko software, websites develope kar ke bech sakate hai.




BCA Se Related Kuch Sawal - Jawab (FAQ’s) :
Aapke man me abhi bhi kuch sawal honge unme se kuch ke answer me yahi de deta hu.
1. 12th ke bad mera gap hai kya mai bca ke liye admission le sakata hu?
Ans: Ha le sakate hai, par aapko uska gap certificate dena padata hai.

2. BCA karane ke liye fess kitani hogi?
Ans: Ye 3 years ka course hai aur fees depend karate hai aapki state aur university pe. Kayi universities 1 saal ke liye 15000, 20000, 25000, leti hai. Aap apne najdiki university me iske bare me puche.

3. 12th me mera Math subject nahi tha?
Ans: Math subject nahi ho to bhi chalega.

4. Admission ke liye kaun sa college, university acchi rahegi?
Ans: Jis college, university me placement cell, campus interview conduct kiye jate hai wahi admission le. Nahi to aapko job ke liye thodi struggle karani padegi.

5. BCA ke Government college available hai kya?
Ans: Yes. BCA ke government college available hai aap google pe apni state ke government colleges search kare.

6. BCA, MCA karane ke bad kya hum Game, Software Bana Sakate hai - Can i create game, software after BCA?
Ans: Ha, Bana sakate hai. Game create karane ke liye C++, VB, Java etc. Programming languages ka istmaal kiya jata hai. Android games banane ke liye mostly Java Language use hoti hai.

7. Kya BCA Hindi me Kar sakate hai ?
Ans: Nahi Ye Sirf English me Available hai.

8. BCA & BCS me kya difference hai?
Ans: In dono ke syllabus me thoda sa difference hota hai, BCA me computer ke sath sath business related bhi kuch subject hote hai, lekin bcs me sirf computer se related hi subject hote hai. BCS ke liye sirf 12th science pass-out admission le sakate hai.

9. Kya BCA ke sath extra coaching ki jarurat hai ?
Ans: Nahi. lekin agar aap iske sath koi programming language ka certification karate hai to acchi baat hai.

10. Mujhe 12th me 50% se kam marks aaye hai. Jaise 44%, 47% etc. to kya mujhe BCA ke liye admission milega.
Ans: Ha jarur private college me admission mil jayega.

11. 10th, 12th Open se kiya hai to kya mujhe admission milega.
Ans: yes

12. Kya BCA Part time me kar sakate hai.
Ans: Agar aapke nazdiki college, university me ye part time me available hai to kar sakate hai.

13.12th me mera math nahi tha to kya BCA kar sakata hu.
Ans: Ha

14. Mera 12th me biology tha, kya mai BCA ke bad MCA kar sakata hu.
Ans : Ha kar sakate hai, kyon ki BCA me aapko statistics name ka subject hota hai.

15.Mujhe MCA karana hai to mai B.sc karu ya BCA?
- BCA

16. BCA karane ke bad google me job kaise milegi?
Ans: Interesting Question Uski puri details yaha hai, Google me job kaise milegi.

17. Iske Notes Kaha pe Milegne?
Ans: BCA, B.C.S Ke Notes, Tutorials

18. Meri English bahut weak hai, to kya mujhe BCA karana chahiye?
Ans: BCA karate samay aapko English par bhi dhyan dena hoga, English dictionary, aur English ke alag se class bhi laga sakate hai. Kyon ki Communication skill bahut jaruri hai.



Note: Agar aapka sawal upar diye gaye sawalo me hai to comment me wo sawal na puche. Aapki comment publish nahi hogi.

To is tarah BCA Course aap complete kar sakate hai. Agar isse realated aapke kuch question ho to comment me bataye. 
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

26 comments:

  1. Sir mane 3 year diploma kiya Hua hai...IT se mujhe second year main admission mil jayega

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Nitin,
      Aapko 12th par first year ke liye admission milega.

      Delete
  2. kya BCA gruation degree hoti hai ?
    jaise hum BA BSC krte hai vaise hi hoti h kya ye

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Sandeep,
      Ji ha Ye graduation course hota hai, BCA ke bad aapko Graduation ki degree milati hai.

      Delete
  3. Sir mujhe second year main college change karna hai toh kya procedure honi chahiye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Nitin,
      Agar aapka first year clear hai to principal ko tc ke liye application kariye.

      Delete
  4. Sir, Mera BCS complete hua hai 67% se or mujhe maths me interest hai mai CA me admission lena chahti hu to ,mere liye MCA acha hoga ya CA? (mujhe best carrier choice bataiye)

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Agar, Coding, programming me interest hai to MCA aur accounting me interest hai to CA kar sakate hai.

      Delete
  5. MCA KARNE K LIYE BCA KARNA JARURI HAI KYA ?
    BCOM KARNE K BAD BAHUT SARA GAP PADA HAI TO KYA MAI MCA KAR SAKTA HU KYA ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ji ha kar sakate hai.

      Delete
    2. misstek my name of the 10th class markseat. so how to admition BCA course

      Delete
    3. @Hemant,
      Kahana kya chahate hai?

      Delete
  6. Sir Mene 12 pass kr Liya dca bhi kr Liya running BSC 1 year he kya kare

    ReplyDelete
    Replies
    1. @bsc pura karjiye uske bad job search kariye.

      Delete
  7. Sir, kya hum bca krne ke bad upsc ki jo graduation posts jo hoti h unke liye apply kr sakte.
    Kya bca graduation m ata h

    ReplyDelete
  8. BCA ke liye fees kitni Hoti he

    ReplyDelete
  9. KYA BCA KARNE KE LIYE KOYI ENTRANCE EXAM BHI HOTA HAI AGAR HA TOH WO KON SI ENTRANCE EXAM HAI

    ReplyDelete
  10. Sir mai 10th baad 12th nahi diploma kar raha hu kya mai diploma baad BCA coarse kar sakta hu

    ReplyDelete
  11. @Ji ha kar sakate hai.

    ReplyDelete
  12. 10th ke bad kya mai bca kar sakta hu..

    ReplyDelete
  13. @Mission Prime Minister,
    12th ke bad kar sakate hai.

    ReplyDelete
  14. Sir mera 12th me 47% aya kya my government college me admission le sakte hai

    ReplyDelete
  15. SIR,B.C.A Aur M.C.A Ke Complete Hone Ke BaaD Starting Job Salary Kya Ho Skti Hai

    ReplyDelete
  16. @ BCA Ke bad Salary Depend karati hai,aapke job par aur company par aam taur par aapko 15k,25k,30k tak mil sakti hai.

    ReplyDelete